Whatsapp Gold ke nuksaan & ATM fraud in 2019

Whatsapp Gold ke nuksaan & ATM fraud in 2019 | ATM Fraud se kaise bache, call fraud ke bare me jan!

Hi dosto kaise ho aap sab aasha krti hun aap sab thik honge to aaj hum apko btayange Whatsapp Gold ke Nuksaan Aur ATM fraud in 2019 ke bare me. 

ATM Fraud in 219


Whatsapp Gold Kya Hai
Whatsapp Gold ek original whatsapp ki hubahu bnayi hui copy hai moded file hai jiske andar kuch advance features hai jaise ke aap last seen ko freeze kr sakte hai jis se message krne waala apka last seen dekh nahi payega, Apna blue tick Hide kar skte hai jis se koi ye pta nai kar paayega ke apne samne waale ke messages padhe hai ke nahi, Aap is whatsapp me Chat ka colour change kar skte hai , Chat ka style change kar skte ha.

Third Party Image Reference



 Chat me aap har jagh or apna photo show kar skte hai, Apko ye whatsapp gold colour me milega jis se aap dusro ko dikha skte ho ke apke paas unse behtar whatsapp hai or aise kayi saare features aapko dekhne ko mil jayenge jisme aap thodi si practice krne pr aap sab kuch smajh jaaoge kyunki ye smajhna aasan nhi hai usme waqt lagta hai or user ke upar depend krta hai ke wo Is whatsapp Gold ko kitna samay deta hai uski jankaari hasil krne ke liye.


Whatsapp Gold Ke Nuksaan


Whatsapp Gold ek Moded Application hai yaane wo ek dark application hai jiske andar security nhi hai or na hi security lene ke liye koi khaas permission or na hi koi other application. Whatsapp Gold ko original whatsap walo ne nhi bnaaya hai ye unka khud ka whatsapp nhi hai kyunki jo original whatsapp hai usme unho ne normal se features diye hai or kuch advance features bhi hai jisko log nhi jaante hai 

Whatsapp Gold Ke Nuksaan


ap un features humaari website pr dekh skte hai aur unko yahan is link se bhi dekh sakte hai 


Jo normal WhatsApp hai uska data encrypted hai jo ki message bhejne wale ko aur message dekhne wale Tak Hi Rahega aur koi bhi application usko dekh nahi sakta koi bhi application usko padh Nahi Sakta Aise mein jo Apna green wala WhatsApp Hi Ho bilkul saaf hai usko Aap aasani Se Kahi bhi kaise bhi istemal kar sakte hain



Magar GB Whatsapp ya phir whatsapp gold Jaise application ko download Na Kare usse apko bahut jyada Khata ho sakta hai usme kaafi sare cheezo ki permission dene ke liye Kaha Jaate Jiski contacts location storage or bahut kuch aapka beta jo mobile mein hai woh hack ho sakta hai aap ki location track ho sakti hai aapki images ka galat fayda Bhi uthaya Ja sakta hai

 ATM fraud kya hai

Hum Sab ATM fraud ke baare mein bahut achi tarike se Jante hain jaise ki aapko company Walo se call aata hai and Woh aapko bahut sari cheeje Puchte Hai Jisme aap ka password Me Shamil hota hai aapko images online Dene Se Pehle hazaar Baar Socha apni in details Kisi Ko Dene Se Pehle zaroor sochle ki vo kahi pe call to nahi hai yeh sirf call tak simit nahi hai Hamare Aas Paas Ke Log bhi aise  karte hain Jiske Hume Andaza abhi nahi hota aur Hamara ATM hack ho jata hai

Third Party Image Reference


ATM Fraud ke nuksaan
ATM fraud ke nuksan ke baare mein jyada batane ki koi jarurat nahi hai jaise ki pehli Aap Ko Bata Diya gaya hai ki ATM fraud Kiya Hai usme kya hota hai to wahi Uske nuksaan hai agar aap apna password ya Apna koi bhi personal information kisi ko de dete hai Uska Woh galat istemal kar skta hai apko Behla phoosala ke aap ki details ko nikal kar aapke jo Bank mein paisa hai usko Chori kar sakta hai

Agar detail puchne Wale Ko aap Puri information nahi bhi dete ho to bhi wo aap se kuch Ek detail ko bhi le kar wo hack karne ki koshish Kar sakta hai.  Agar wo janta hai ki aap Jyada samajhdar nahi hai to aap ke Bhole pan ka fayda utha kr aapke bank se jitne bhi paise Hai sare ke sare Woh hadap Lega


ATM Fraud se Kaise Bache

 

1. ATM fraud se bachne ke liye sabse Pehle Aap Ko Ye Jana bahut zaroori hai ki aap apna pin your password ya aapko bhi detail online Kisi Se Bhi share Na Kare Chahe voter card ka number hai kyu Na Ho

2. Agar aap aapke ghar Walo se aapka pin/password share Karte Hai To iska bhi Dhyan Rakhe ki woh aapka pin or password Kisi Aur Ko Naa Bataye Kyun ki kayi baar Aisa Hota Hai Ki Baaton Baaton Mein Koi Bhi Cheez Hai Log Aksar pooch Lete hai Aur Hum usse Bina Dekhe Bina Jane Bata bhi dete Hain To Ye Galti Na Kare


Third Party Image Reference


3. Agar aapko koi call Aati Hai Jisme aap ko aap ka password Pucha jata hai to aap satark rahiye Kyunki koi bhi Bank aapko aapka password puchne ke liye call nahi karti hai agar aap kaun se call Aata Bhi Hai Tu agar aap ki kuch problem hai to wo solve karne ke liye hota hai aapka kabhi bhi Woh ATM ka password nahi poochenge.


4. Bank Walo Ko Chod Kar Agar aapko KBC se related ya aapko Koi lottery se related ya aapko Aisa call aata hai ki aap ne itne paise Jeet liye hai  to aap Koun Ki Baat bilkul bhi nahi Suni Hai Kyuki wo aapko paise nahi Denge ulta aap se paise le kar jitne apne paise Hoon Ko Diya Hai Woh Lekar Bhag Jayenge aur aap Unka Kuch Bhi Nahi bigaad Payenge

Third Party Image Reference
 


5. Suppose agar aap ka ATM hack ho jata hai ya koi aap ko Mera Faisla kiya uska galat istemal kar deta hai to aap ke paas Ek Raasta Hai ki aap customer care ko phone karke Apne ATM block kar sakte hain Jis Ke zariye aapke bank se koi bhi paise nahi Jayega Magar aap kuch ka kuch change karna hai ya password change karna hai uski details change karna hai to usko usko change karne ke liye Bank mein hai jaana padega woh customer care aap ko wah se provide nahi kar sakta


6. Agar aapko ATM ka Jyada knowledge nahi hai aur aap ATM menu hai to aap security ko puch kar apni problem Ka Hal nikal sakte hain Magar aapka aapka pin password sab kuch dekhna hai aapne kya password dala hai kya ho raha hai nahi to aap ke paise chale jayenge Aap Ki Aankhon Ke Samne aur aap kuch bhi nahi kar Payenge is Se Achcha yahi hai ki aap apne ghar ke kisi member ko Lekar chahiye aur apne ATM ko bachaiye

Third Party Image Reference


7. Agar aap Kisi call Ka Shikar ho Jate Hain aur aap ke bank se paise nikal Jate Hain To aapko chup nahi baithna hai. Aap ko jaldi se jaldi police station me us ki Shikayat karni hai aur Apna ATM customer care se baat karke jaldi se jaldi block karwana hai police station Mein Shikayat isliye karni hai Kyunki wo Aage Kisiki Saath Ye sari cheeje na kar sake aur Hamare India mein Aisi cyber security hai jo unko pakadne me help Karti is main aapka Bhi yogdan Hoga agar aap action Lete ho to hi ye possible hai



8. Aisi halat mein aap ko bilkul Bhi Dar Na nahi hai aapko aur aapke Apno ko aur aap Ke Aas Pass jitne bhi log hai unko is cheez se aap jagrit karna Ye un ko bataye ki aisi Cheez Hai bhi hoti hai aur unme se kuch log aap he Ke Aas Paas Ke Log hote hain Unki aaj kal koi bhi Kisi Ka Saga Nahi Hai To please kripya Karke aap kis baat ka Puri Puri tarike se Dhyan Rakhe Apne aur apne ATM ko Bachaye Rakhe.

Third Party Image Reference


Main Asha Karti Hoon aap Jaan Gaye Honge ki whatsapp gold kya hai and ATM fraud Kaise hote hain unke nuksaan kya hai aur Unse Kaise bacha Jaye aap jaldi se jaldi is post ko Apne Sare WhatsApp groups Mein bhej de Kyunki kya pata kal Kiska ATM hack ho jaye aur usko Hamari post se kuch madad ho jaye aur uska ATM hone Se Bachaye


Satark hone ke liye isliye kaha hai Kyunki bahut se Aise log hai Joh Shahar Mein Rehte ho yeh Saari Baatein Jante Hain Magar jo log Gaon Mein Rehte Hain unko Yeh Sab Baaton ka abhi bhi Maloom Nahi Hai To please aapka Ek share kisi ko bacha sakta hai Kisi Ki mehnat ki kamai ko bacha sakta hai to please kripya Karke usko share Jarur kare aur apne desh ko in fraud bhare logo Se Bachaye Apna aur Apno Ke Liye yogdan ka ek hissa bane

Aisi hai latest updates paane ke liye aur Gyan Ki Baatein Hamare Saath jaan ne ke liye www.knowledgefinder.in ko follow karna na Bhule aapko koi bhi Sawal ho to please comment Jarur kare aapka Yeh post read karne ke liye bahut bahut dhanyavad.

Yeh Bhi Padhe-

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *