Namaskar doston aaj is post ke jariye Padmashri se sammaanit Tulsi Gowda ke bare mein kuch jaankari aap logo se share kar raha hu. Agar aap Tulsi Gowda ke baade mein janna chahte hai to is post ko antim tak jarur padhe, umeed hai yeh post aap ko pasand aayega dhanywaad.
Tulsi Gowda kon hai?
Tulsi Gowda ka janma 1944 mein Karnataka ke ak gaon Honnali sthit Hakkali janjaati mein hua. Pita ke bachpan mein hi gujaar jaane ke bad Tulsi ne dihadhi majdoor ke rup mein kam suru kiya. Woh aapni ma ke sath ak sthaneeya nursery mein kam karti thi. Tulsi ne aapni ma ke sath 35 saal tak nursery mein kam karna jari rakha. Is dauraan unki koi Aupchaarik shiksha to nahi hyi, lekin nursery mein ped-pedhon ke beech unhe prakriti ko samajhne ko mauka mila.
11 saal ki umra mein unki shadi ho gyi. Aapne jindagi ke dukh aur akelepan ko dur karne ke liye hi Tulsi ne ped-pedhon ka khayal rakhna suru kiya, isi tarah ped-pedhon ke beech rahane ke karan Tulsi ko inki kafi samajh aa gyi hai. Aapne is anubhav aur samajh ke chalte Tulsi Gowda ne paryaavaran ke sanrakshan ki disha mein bahut bada yogdaan diya. Saal 2006 mein unhe van bibhaag mein vriksharopan ki naukri mili aur 14 saal ki kaaryakal ke bad weh aaj sevanivritt hai. Is dauraan unhone anginat pedh lagaye aur jaivik vividhta sanrakshan mein mahatvapurn bhumika nibhayi hai. Aapni puri jindagi pedon par samarpit karne wali Tulsi ko ped-pedhon ki gajab ki jaankari hai. Jiski wajah se unhe jungle ka Encyclopedia bhi kaha jata hai.
Tulsi Gowda Padmashri Award
Rashtrapati bhavan mein is Saumwar(9 November) ko padma puraskaaron ka vitaran samarohon hua. Is mauke par rashtrapati Ram Nath Kovind ne koi sthaneeya aur aam naagarikon ko sammaanit kiya. Inmein koi log aise rahe jinhe samaajik kaarya mein yogdaan ke liye aue puraskaar sapa gaya. Puraskaar pane walo mein ak naam Tulsi Gowda ka bhi raha.
Jab Tulsi Gowda padmashri samman lene rashtrapati Kovind ke pas pahunchi to woh paramparik paushak mein najar aye. Unki saadgi ko dekh kar ak pal ke liye waha maujood sabhi log hairaan bhi hye aur aur unki tareef bhi ki. Khud Pradaan mantri Modi prabhaavit ho gaye. P.M Modi aur Amit Shah ke samne jab woh pahunchi to dono ne unki uplabdhi ka samman karte huye unhe namaskar kiya.
Ak tasveer mein Pradaan mantri Modi ko paryaavaranvid ka hath pakad kar unhe bat karte huye bhi dekha gaya. 77 saal ki Tulsi ko aaj Encyclopedia of forest ke rup mein jana jata hai. Pedhon aur jadi-butiyon ki vibhinn prajatiyon par unke vishal gyaan ke karan unhe is naam ae pukara jata hai. Karnatak ke Honnali gaon ki rehne wali Tulsi Gowda ne shah dashakon se adhik samay tak paryaavaran ke liye kam kiya hai aur unhone aaj tak 1 lakh se bhi adhik paudhe lagaye hai.
At Last
Toh dosto yeh tha aaj ke topic Padmashri se sammaanit Tulsi Gowda ke bare mein, asha karta hoon abhi aap jan gaye hai Tulsi Gowda ke baade mein. ummeed hai yeh post apko pasand aaya hai.
Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.