aj ke is post mein humne baat ki hai sardar Vallabh Bhai Patel ke unity of statue ke bare mein yeh kab banaya statue of unity kaha par stithh hai
Statue of Unity kab banaya gya tha
Statue of unity Bharat ke pratham upa Pradhanmantri tatha pratham grihmantri Vallabh Bhai Patel ko samarpit ak smaarak hai. Jo Bharatiyon raajya Gujarat mein sthit hai. Gujarat ke tatkaaleen pradhanmantri Narendra Modi ne 31 October 2013 ko Sardaar Patel ke janmdiwas ke mauke par is vishaalkaay murti ke nirmaan ka shilanyaas kiya tha. Yeh smaarak Sardaar Sarovar Dam se 3.2 km duri par sadhu bet naamak sthan par hai Narmada nadi par ak tapu hai. Yeh sthan Bharatiyon raajya Gujarat ke Bharuch ke nikat Narmada jile mein sthit hai.
Is murti ke nirmaan hetu Turner Construction ki sahaayata li ja rahi hai. Ise purna hone mein lagbhag 5 saal ka samay laga. Pariyojna ki kul lagat 2063 crore. Pratham charan ke liye October 2013 ko boli ke liye aamantrit kiya gya aur November 2018 tak chala.
Tatkaleen Gujarat ke mukhyamantri Narendra Modi ne 13 October 2013 ko Sardaar Vallabh Bhai Patel ke 138 weh janmdin ke avasar par is smaarak ka shilanyaas kiya. Iske bad Modi ne Lal Krishna Advani ke sath yeh ghoshna kee ki yeh murti nirmaan ke bad duniya ki sabsi lambi murti hogi.
Statue of Unity ko banane ki abhiyaan
Gujarat sarkaar dara 7 October 2010 ko is pariyojna ki ghoshna ki gyi thi. Is murti ko banane ke liye loha puri Bharat ke gaon mein rahane wale Kishanyon se kheti ke kam mein aane wale puraane aur bekar ho chuke aujaaron ka sangrah karke jutaaya gya. Sardaar Vallabh Bhai Patel rashtriya trast ne is karjya hetu pure Bharatvarsh mein 36 Karjyalay khole. Jisse lagbhag 5 lakh Kishanyon se loha jutaane ka lakshya rakha gya. Is abhiyaan ka naam “Statue of Unity Abhiyaan” diya gya. 3 mahine lambe is abhiyaan mein lagbhag 6 lakh graaminon ne murti sthapana hetu loha daan kiya. Is dauraan lagbhag 5000 metric tan lohe ka sangrah kiya gya. Halaaki suruaat mein yeh ghoshna ki gyi thi ki sangrihit kiya gya lohe ka upyog mukhya pratima mein kiya jayega, magar bad mein yeh loha pratima mein upyog nahi ho saka, aur ise pariyojna se jude anya nirmaanon mein prayog kiya gya.
Statue of Unity ka record
Sardar Sarovar Dam par sthaapit Statue of unity ki unchai 182 m. hai, jo America ke New York ke 93 m. unchi “Statue of Liberty” se doguni hai. Iska kul vajan 1700 tan hai. Pairon ki unchai 80 feet, haath i unchai 70 feet, kandhe ki unchai 140 feet aur chehre ki unchai 70 feet hai. China ki Spring Temple 153 m. unchi Buddha pratima ke naam vishay ka sabse unche murti hone ka record tha, jis record ko todte huye Sardaar Vallabh Bhai Patel ne record banaya.
Statue of Unity ke kuch kaash batein
Sardaar Patel ki is murti mein chaar dhaatuon ki upyog kiya gya hai, jismein varshon tak jungle nahi lagegi. 85 fisadi tamba istemaal kiya gya hai, iske alawa 5700 metric tan strakcharal steel aur 18500 metric tan reyonforshmen bars bhi istemaal kiya gya hai.Yeh murti 22500 metric tan cement se bani hai. Murti ke nirmaan mein kareeb 44 mahinon ka waqt laga hai.
Dikhne mein yeh pratima jitni kaash hai, utni hi kaash iski banavat hai. Yeh ak tarah ka kampaujit structure hai. Loh purush ki murti ke nirmaan mein lakhon tan loha aur tamba laga hai. Logon se bhi loha sangrah kiya gya tha, gaon mein rehne wale Kishanyon se kheti ke kam mein aane wale puraane aur bekar ho chuke aujaaron ka sangrah karke jutaaya gya. Iske liye “Sardaar Vallabh Bhai Patel Rashtriya Trast” ke naam se ak trast bhi banaya gya tha, jiski neev P.M Modi ne 2013 mein rakhi thi.
At last
Toh dosto yeh tha aaj ke topic Statue of unity ke bare mein, asha karta hoon abhi aap jan gaye hai statue of unity ke baade mein. ummeed hai yeh post apko pasand aaya hai.
Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.
Yeh bhi padhe –