Rohit Sharma ka jeevan parichay!||Biography Rohit Sharma
Bharat ek cricket premi desh hai. bharat mein sabse pasandida khel hai cricket, jo bharat ke logo ke dilo mein raj karta hai.
Bharat mein kisi bhi cricket tournament ek tyohar ki tarah hota hai. bharat ke lag bhag sabhi log cricket dekhte hai.
Bharat mein cricket itna popular hone ka karan hai, Bharat ke mahan khiladiyo ke khel.
Bharat ne bahut bade bade cricketaro ko janm diya hai, jiske badulat bharat aaj duniya mein cricket mein ek number hai.
Bharat un mahan khiladiyo ke bare mein hume janne chahiye. Bharat ke un mahan khiladiyon ke bich ek khiladi hai Rohit Sharma.
To dosto aiye is post par hum jante hai ki Rohit Sharma ka janam kaha hua, Unka cricket carrier ki shuruwat kaise huye ye sab ke bare mein.
Rohit Sharma ka janm:
Rohit Sharma ka janm 30 April 1987 ko Maharashtra ke Nagpur main huwa tha.
Rohit Sharma ke family:
Rohit Sharma ke pita ka naam hai Gurunath Sharma or Rohit Sharma ke mata ka naam hai Purnima Sharma.
Rohit Sharma ke biwi(wife) or bache:
Rohit Sharma ke biwi ka naam hai Ritika Sajdeh or unke bacchi(daughter) hai.
Rohit Sharma ka pura naam:
Rohit Sharma ko hum generally Rohit Sharma ke naam se hi jante hai. Lekin Rohit Sharma ke asal naam hai Rohit Gurunath Sharma.
Rohit Sharma ke nick name:
Rohit Sharma indian cricket team ki ek bahut bade hitter hai, isliye Rohit Sharma ko Hitman ke naam se jane jate hai.
Uske alaba Rohit Sharma ko Ro-hit man Sharma or shaana ke naam se bhi jana jata hai.
Rohit Sharma ke record:
Rohit Sharma Sachin Tendulkar ke bad double century marne wala tisra player bana tha.
Rohit Sharma ek lote ek aisa cricketer hai jinhone ODI(One Day International) main tin double century banaya hai.
Rohit Sharma ke naam ODI main world cricket ke high score hai, unhone ek innings main 264 run banaya tha.
2019 ke world cup main Rohit Sharma ne ek or record apne naam kiya tha, wo record ye tha ki world tournament main five century marne wala Rohit Sharma world ke ek lota batsman hai.
Rohit Sharma ka jeevan parichay!
Rohit Sharma ke carrer:
Rohit Sharma indian cricket team ki ek right handed opening batsman hai.
Rohit Sharma ke international cricket carrier ka shuruwat huyi thi 2007 main Ireland ke khilaf.
Rohit Sharma ne 2013 main test cricket main debut kiya tha west indies ke khilaf.
Rohit Sharma ne ODI debut kiya tha 2007 main Ireland ke khilaf. IPL debut kiya tha 2008 main.
Rohit Sharma ne T20 match main debut kiya tha England ke khilaf 2007 main.
Rohit Sharma ke highest scores:
Rohit Sharma ke ODI main highest score hai 264, Test cricket main highest score hain 212.
T20 cricket main Rohit Sharma ke highest run hai 118 run.
Rohit Sharma ke total run hai ODI main 9115 , test cricket main 2219 or T20 cricket main hain 2773 .
Last word:
Toh dosto yeh tha Rohit Sharma ke bare mein kuch jankari, asha karta hu apko yeh jankari pasand aaye hai ,aur umeed he ki isse aap logo ko kuch janne ko janne ko mila Rohit Sharma ke bare main ke bare mein.
Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.
Ye bhi padhe:
- Zaheer Khan ke jeevan parichay!
- Sachin Tendulkar ke jeevan parichay!
- Top five ODI batsman of India!!