Singer Mohammad Aziz ji biography in Hindi!
Hindi film ke sangeet main ek ke bad ek singer ne apna raj jamaya or apna jalwa dikhaya,generation change hote rahe or koyi sare singer ate rahe,lekin sabhi singer apna jalwa dikha nhi pate ya sirf kuch din ke liye apna jalwa dikha pata tha.lekin bollywood sangeet jagat main ek suhani melody or romantic safar aa gaya tha ,jise hum 80’s aur 90’s ke dour kehte the. us samai ke gane me ek mithas thi jo logo ke mann ko shu jata tha.
In sab gano ke mithaj ke raj main ek baat hain,jo hain us samai ki singero ki mithas awaz. 90’s aur 80’s ke daur main ek bahut hi famous singer the,jisse log us samai log bahut pyar karte the,jo ek samai yani 80’s or 90’s ke jamane main bollywood par raj karta tha.us mahan singer ka naam hain Mohammad Aziz.Jinke gane sunte hi logo ke mann me pyar ubar ata tha or logo ke mann me shanti aa jata tha.
To dosto aiye is post par hum jante hai ki legendary singer Mohammad Aziz ji ka janm kaha hua tha, unka bollywood debut year kaun sa tha ye sab ke bare main.
Mohammad Aziz ji ka janm:
Mohammad Aziz ji ka janm huwa tha san 1954 ke 2 July ko West Bengal Calcutta main. Mohammad Aziz ji apne awaz se logo ko muhit karte the.
Mohammad Aziz ke pura naam:
Mohammad Aziz ko aise to hum Mohammad Aziz ke naam se hi jante hai. Lekin unka ka pura naam hai Sayeed Mohammed Aziz-un-Nabi. Mohammad Aziz Sahab ke nick name hai “Munna”.
Mohammad Aziz ji ke carrer:-
Mohammad Aziz Sahab ek Indian Play back singer hai, Mohammad Aziz Sahab bollywood main bahut sara gaana gaya hai.
Mohammad Aziz Sahab Mohammad Rafi Sahab ke bahut bade bhakt the, or Mohammad Aziz Sahab ke awaz kuch Mohammad rafi Sahab ke awaz se milte bhi the.
Mohammad Aziz sahab ke first song:
Mohammad Aziz ne pehle hindi film Amber main pehla song gaya tha. Mohammad Aziz ne bahut sare language main gana gaya hai.
Mohammad Aziz Sahab ne Bollywood, Bengali film aur Odia film main bhi gaana gaya tha. Mohammad Aziz Sahab ka pehla bengali song tha Jyoti or Bouma.
Mohammad Aziz Sahab ke death:
Mohammad Aziz Sahab hum sabko rulakar Mumbai Maharastra main 27 November 2018 ko is duniya ko shor kar chala gaya tha.
Last word:
Toh dosto yeh tha Mohammad Aziz ji ke biography, asha karta hu apko yeh jankari pasand aaye hai ,aur ummid he ki isse aplogo ko kuch janne ko mila Mohammad Aziz ji ke bare main.
Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.
Yeh bhi padhe –
- Gayak Kumar sanu ji ke jibon parichay|Singer Kumar Sanu biography in Hindi
- Mohammad Rafi Biography in Hindi|मोहम्मद रफ़ी जी के बारे में कुछ बाते!
- Zubeen Garg ke jibon parichay Hindi mein!