About Indian Athletic Milkha Singh in Hindi!
Bharat ek khel premi desh hai. bharat mein bahut sara pasandida khel khela jata hai , jo bharat ke logo ke dilo mein raj karta hai.
Bharat mein kisi bhi khel ko ek tyohar ki tarah hota hai. bharat ke lag bhag sabhi log khel kud se dekhte hai.
Bharat mein khel itna popular hone ka karan hai, Bharat ke mahan khiladiyo ke khel, jo har khel main apna jalwa dikhata hai or desh ka naam roshan ka karta hai.
Bharat ne bahut bade bade khiladiyo ko janm diya hai, jiske badulat bharat aaj duniya mein khel ki xetra mein ek number hai.
Bharat ke un mahan khiladiyo ke bare mein hume janne chahiye. Bharat ke un mahan khiladiyo ke bich ek khiladi hai Milkha Singh.
To dosto aiye is post par hum jante hai ki Milkha Singh ka janm kaha huyi, Unka carrier ki shuruwat kaise huye ye sab ke bare mein.
Milkha Singh ji ka janm:
Milkha Singh ka janm 20 November 1929 mein British India ke punjab ke multan mein huwa tha.
Milkha Singh ji ke family:
Milkha Singh ke ek Rathore Rajput bans main hua tha. Milkha Singh ke 15 bhai the, un main se Milkha Singh ji ek hai. Milkha Singh ji ne 1963 main Nirmal Saini se shaadi kiya tha.
Milkha Singh ji ke bache ka naam hai Jeev Milkha Singh or ek bache ka naam hai Sonia Sanwalka.
Milkha Singh ji ke nick name:
Milkha Singh ji ke nick name hai “The flying Sikh”. Ye naam unko Milkha Singh ji ko apne kaam ki wajah se mila hai. Milkha Singh ji apni running ke wajah ye naam hasil karne main kabil hua hai.
Milkha Singh ji ko ye nick name Pakistan ke general Ayub Khan ne diya tha 1960 main.
Milkha Singh ji ke jeevan parichay!
Milkha Singh ji ek Indian Athletics hai. Milkha Singh ji running main India ko represent karte the. Milkha Singh ji ne 1956 main 200 meter or 400 meter competition main Melbourne Olympic main India ko represent kiya tha.
Milkha Singh ji ne 1958 main 200 meter or 400 meter ke competition main Indian National Game main Gold Medel jita tha.
1958 main Milkha Singh ji ne British Empire and Commonwealth game main 400 meter ki compeition main sirf 46.6 second main complete karke gold jita tha.
Milkha Singh ji ne 1960 main ek world record racha tha running main, Milkha Singh ji ne 400 meter ki competition sirf 45.8 second main complete kiya tha.
Milkha Singh ji Punjab Ministry of Education ke Sports Director ban gaye the 1958 main or unhone 1998 main is pad se retired le liya tha.
Milkha Singh ji Indian Army ke honorary Captain bhi the.
Milkha Singh ji ke height the 1.78 meter.
Milkha Singh ji ke award:
Milkha Singh ji ko Bharat sarkar bahut sare award se sammanit kiya hai. Milkha Singh ji ko Arjuna Award or Padma Shri award se sammanit kiya gaya hai.
Milkha Singh ji ke mrityu:
Milkha Singh ji ka mrityu san 2021 ke 18 June ko 91 barsh ke umra main Chandigarh main hua tha.
Last word:
Toh dosto yeh tha Milkha Singh ji ke bare mein kuch jankari, asha karta hu apko yeh jankari pasand aaye hai ,aur umeed he ki isse aap logo ko kuch janne ko janne ko mila Milkha Singh ji ke bare mein.
Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.
Ye bhi padhe:
- Virender Sehwag ke jibon parichay!
- Zaheer Khan ke jeevan parichay!
- Janiye WWE ke sabse amir wrestler koun hai ?
bhut achhi post hai …….thanks for it
WELCOME