Lachit Borphukan (Lachit Divas) Assam in Hindi

Namaskar doston aaj is post ke jariye Lachit Divas ke bare mein kuch jankari aap logo se share kar raha hu. Agar aap Lachit Borphukan ke baade mein janna chahte hai to is post ko antim tak jarur padhe, umeed hai yeh post aap ko pasand aayega dhanywaad.

Lachit Borphukan kon the

Lachit Borphukan ka janma 24 November 1622 mein Charaideo, Assam mein hua tha. Lachit Borphukan ka naam Assam ke itihaas mein bada hi mahatvapurn hai. Unhein aapni veerta aur kushal netritv kshamta ke liye yaad kiya jata hai. Lachit Borphukan Mumai Tamuli Borbarua ke putra the, jo ki Prataap Singh ke shasan-kaal mein pehle Borbarua the. Lachit Borphukan ne manviki, shashtro aur senya kaushal ki shiksha prapta ki thi. Unhein Ahom swargdev ke dhwaj vaahak ka pad saunpa gya tha, jo ki kisi mahatvakankshi kutnitik ya raajneta ke liye pehla mahatvapurn kadam mana jata tha. Borphukan ke rup mein aapni niyukti se purva Lachit Ahom raja Chakradhwaj Singh ki shahi ki ghudhsal ke adhyakshk, ranneetik rup se mahatvapurn simulgad kile ke pramukhya aur shahi ghudsavaar rakshak dal ke adhyakshk ke padon par aasin rahe the.

Raja Chakradhwaj ne Guwahati ke shasak Mughalon ke biruddh abhiyaan mein sena ka netritv karne ke liye Lachit Borphukan ka chayan kiya. Raja ne upaharswarup Lachit ko soneki muth wali al talwaar aur vishishata ke pratik paaramparik vastr pradan kiye, Lachit ne sena aktrit ki aur 1667 ki garmiyon tak tayari puri kar li gyi. Lachit ne Mughalon ke kabje se Guwahati pun prapta kar liya aur Saraighat ki ladai mein weh iski raksha karne mein safal rahe.

Saraighat ki vijay ke lagbhag ak saal bad prakritik kaarnon se Lachit Borphukan ki mrityu ho gyi. Unka mrit sharir Jorhat se 16 km dur Hulungpara mein Swargdev Udyaditya Singh dara chan 1672 mein nirmit Lachit smaarak mein vishraam kar raha hai.

Saraighat ki ladai

1667 mein Ahom rajaao se mili karari har ke bad Mughal buri tarah se tilmila gye. Jiske kuch samay bad hi Mughal shasak Aurangjeb ne rajput raja Ram Singh ke netritv mein vishal Mughal sena ko Ahom rajvansh par jeet ke liye ravaana kar diya. 1669-70 mein Mughal sena aur Ahom rajaao ke beech koi ladaiyaan ladi gyi, jinka koi thoos natija nahi nikal saka. Iske bad 1671 mein Saraighat ilake mein Brahmaputra nadi mein Ahom sena aur Mughalon ke beech aitihasik ladai hyi. Yeh ladai itihaas ki Ahom ladai mein gini jati hai, jisne pani mein ladai ki taknik ko naye aayaam diye.

Saraighat ki ladai mein Mughal sena baade baade jahaajon par savaar hokar Assam mein ghusne ki kashish kar rahi thi, lekin Ahom sena ne sankhya mein kam hote hye bhi taknik aur chaturaai ke dum par shaktishali Mughal sena ko hara diya. Kaha jata hai Saraighat ki ladai se pehle Ahom sena ke senapati Lachit Borphukan bimar ho gye aur yuddh mein hishha nahi le paye. Jaise hi yuddh suru hua Ahom sena Mughal sena se harne lagi. Iski suchna milte hi Lachit bimar hote hye bhi ladai mein shaamil hye aur aapne kamaal ki netritv ke sum par Saraighat ki ladai mein kareeb 4000 Mughal senikon ko mar giraya aur unke koi jahaajon ko nasth kar diya. Saraighat ki ladai mein karari har ke bad Mughal piche hat gye aur fir kabhi bhi Assam par aakraman ke liye nahi lote.

Saraighat ki ladai ke kuch samay bad hi Lachit Borphukan ki bimari ke karan mrityu ho gyi, lekin yeh veer yoddha itihaas mein sada ke liye amar ho gya. Assam mein aaj bhi Lachit Borphukan ka naam baade hi samman se liya jata hai aur har saal Lachit ke janmadivas 24 November par Assam mein Lachit Divas manaya jata hai.

Lachit Divas

Lachit Borphukan ke paraakram aur Saraighat ki ladai mein Ahom sena ki vijay ka smaran karne ke liye sampurna Assam raajya mein har saal 24 November ko Lachit Divas manaya jata hai. Rashtriya raksha academy ke sarvshreshth cadet ko Lachit medal se sammaanit kiya jata hai, jiska naam Lachit Borphukan ke naam par rakha gya hai.

At last

Toh doston yeh tha aaj ke topic Lachit divas ke bare mein, asha karta hoon abhi aap jan gaye hai assam ke Lachit Borphukan ke baade mein. ummeed hai yeh post apko pasand aaya hai.

Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.

Also Read..

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *