Christmas day ke bare mein

Merry Christmas Day 2021, Christmas ki suruaat kaise huyi, Christmas khaas kyu hai khas bate

Namaskar doston knowledge finder blog me aapka swgat hai, aaj is post ke jariye Christmas ke bare mein kuch jaankari aap logo se share kar raha hu. Agar aap Christmas ke baade mein janna chahte hai to is post ko antim tak jarur padhe, umeed hai yeh post aap ko pasand aayega Dhanyawaad.

Merry Christmas Day

Christmas aaj har bacche ka favorite day ban gaya hai. Aur bacchon se lekar badon tak ne is din ki tayariya bhi suru kar di hai. Waise to Christmas ka parva Isai dharm ka pramukh parva hai. Par ab is parva ko har dharm ke log bahut maan se manate hai. Bharat mein bhi yeh parva khub dhumdham se manaya jata hai. Christmas ko bada din bhi kaha jata hai. Is din ko prabhu Jesus ka janma hua tha.

Christmas ya Bada din Isha Masih ya Jesus ke janma ki khushi mein manaya jane wala parva hai. Yeh 25 December ko padta hai aur is din lagbhag sampurna vishay mein avkash rehta hai. Christmas se 12 din ke utsav Christmastide ki bhi suruaat hoti hai. Anno Domini kaal pranaali ke adhaar par Jesus ka janma 7 se 2 E.Pu.ke beech hua tha. 25 December Yeshu Masih ke janma koi ghyat vasthavik janma tithi nahi hai aur lagta hai ki is tithi ko ak Roman parva ya Makar Sankranti se sambandha sthapit karne ke adhaar par chuna gaya hai. Aadhunik Christmas ki Shuttiyon mein ak dusre ko uphaar dena, Church mein samarohon aur vibhinna sajaavat karna shaamil hai. Is sajaavat ke pradarshan mein Christmas ka Ped, rang birangi roshnimayan, banda, janma ke jhaanki aur hanli adi shaamil hai. Santa Claus Christmas se judi ak lokapriya pauranik parantu kalpit shakhsiyat hai jise aksar Christmas par bachcho ke liye uphaar lane ke sath jauda jata hai.

Christmas ki suruaat kaise huyi

Europe mein kuch geer Isai samudaay ke logon ne 25 December ko Surya ka disha change hone wala din ke rup mein celebrate karna suru kar diya. Isai maanyataaon ke anusaar, Christmas ke din hi prabhu Jesus ne dharti par janma liye tha. Inka janma Joseph aur Mary ke ghar mein hua tha. Yaise to prabhu Jesus ko janma ke thik samay aur mahine ki satik jaankari nahi hai lekin, chauthi shatabdee mein Isai charchon ne 25 December ko Christmas Day ke rup mein manaane ki suruaat ki. America ne aadhikaarik taur par 1870 mein Christmas ke din holiday ki suruaat ki. Iske bad se hi duniya bhar ke Isai is khaas din ko prabhu Jesus ke janma din ke rup mein celebrate karte hai.

Christmas khaas kyu hai khas bate

Christmas ko khaas unki paramparaye banati hai. Unme ak Sant Nicolas hai, jinka janma Isa Masih ki mrityu ke lagbhag 280 saal bad Myra mein hua tha. Unhone aapna pura jeevan Jesus ko samarpit kar diya. Unhe logon ki madad karna behat pasand tha. Yahi vajah hai ki woh Jesus ke janma din ke mauke par rat ke andhere mein bacchon ko gift diya karte the. Is vajah se bacche aaj bhi aapne Santa ka intejaar karte hai.

Aur dusri ahem parampara Christmas Tree ki hai. Jesus ke janma ke mauke par Phar ke ped ko sajaaya gaya tha. Jise bad mein Christmas Tree kaha jane laga. Iske alawa ak aur parampara card dene ki hai. Is din log ak card ke jariye aapno ko shubhkamnaayein dete hai. Bata de ki pehla Christmas card 1842 mein Villian Angle ne bheja tha.

At last

Toh doston yeh tha aaj ke topic Christmas ke bare mein, asha karta hoon abhi aap jan gaye hai Christmas ke baade mein. ummeed hai yeh post apko pasand aaya hai.

Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.

Also Read…

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *