Chehre se pimples kaise hataye?| pimples hone ka kuch karan!

Aaj ke samay me har ladke ladakiyon ka ek problem jaroor hoti hai. Aur vo hai Pimpals ka aur Aaj ke samay me har koyi  esse pareshan hota hai.

Chehre se pimples kaise hataye?| pimples hone ka kuch karan! Toh Dosto is post par humne bataya Chehre se Pimpals kaise hataye, Pimpals hata ne ka gharelu tarika |Face se muhanshe hatane ka tarika

Pimpals khas kar yuvavastha aur teenager ke log esse kafi paresan lagte hai. Kyu ki pimpals chehre ki khoobsurati ko kam kar deta hai, Kisi ke chehre par pimples ho to uska chehara acha nahi dikhta hai. Esse Hamare Personality par bhi gehra prabhav padta hai .Jise bhi ye pimpals ki problem hoti hai uska confidential level low ho jata hai Aur dusro ke samne hamare impression kharaab ho jata hai.

Chehre se pimpals kaise hataye?

Oily skin par pimples ke samasya kafi jyada hote hai, Pimpals ko kayi log hath se phod dete hai Aisa karne se pimples to kuchh samay ke liye hat jate hai Lekin uska daag chehre par rah jata hai. Aksar keel muhase ke jariye hamare shareer ki garmi bahaar aati hai Jo khane peene ke galat aadaton se ho jati hai.  Agar ham skin ko poshan dene vale chize khaye aur tale hue food se door rahe to bar bar pimpals aane se chutkara milta hai. Hare sabjiya, phal aur pani skin ko swasth rakhne ke liye ek uttam upay hai.

Face se muhanshe hatane ka tarika.

*Aalu (potato) 

–>Aalu ubaalakar chhilke nikal de aur eske chhilke ko munh me ragde, muhaase theek ho jayenge.

*jaitoon ka tel

–>Jaitoon ka tel lekar chehre par 10 minute tak maalish kare. Aisa karne se chehre ke muhase jaldi theek ho jate hai.

*Pudeene ka istemaal kare.

–>Apne chehre se dag aur dhabbe ko door karne ke liye aap pudeene ka estemaal kar sakte ha. Pudeene me kafi matra me menthol hote hai jo aapke muhse ke jalan ko kaaphi kam kar deta hai. Aap pudeene ka ras ko apne chehre par lagayiye aur kuchh samay baad use thande pani se dho le.

Pimpals hatane ka gharelu tarika:-

*Alovera jel

–>Aovera ka ras nikale aur 5 minute tak bahar rakhe fir usme nimbu ke kuchh boond ras milaye aur 15 minute baad dho le. Esse apko behtar parinaam milegee.

*Daliye ka peshaphic

–>Aap daaliye ko bhi apne muh ke daag dhabbe ko door karne ke liye upyog kar sakte hai.Aap daliye ke saat sahad milaye aur usko achhi tarah se mix kar le. Es pest ko fir aap apne chehre ke muhaason par lagaye aur fir swaksh paani se dho de.

*Daalachini aur sahad

–>Daalachini aur sahad ko ek saath milakar apne chehre ke muhaason par halke se apne face par male.Esko ek saath milakar pest bhi taiyaar kar sakte hai aur chehre par laga sakte hai.

*Toothapaste

–>Hum tooth saf karne ke liye toothapaste to prayog karte hi hai. Lekin eska istemal karke aap pimpals ko bhi saf kar sakte hai.Agar aap raat ko sone se pahle chehre ke muhaase par laga rahne de to ye un muhaason ko thanda karke sookha dega.

Pimples hone ka kuch karan!

Upar humne pimples se bachne ke liye kuch tarika to bataye hai, Pimples hote kyu kuch karan yeh hai aagar aap raat ko jyda time jagne se bhi pimples hte hai yani ki jitna neend lena chahiye utna le nahi pate hai toh apke chehre pe pimples aa skte hai. dusra liver me kuch issue hone ke wajah se bhi pimples hte hai isikeliye liver ka dawai bhi khana jaruri hai.

In conclusion

To mujhe ummid hai ab aap en tariko ka istemal karke apna face ka pimpals hata sakenge. Aur handsome dikhna start ho jayenge. Agar aapko yah article achha laga to aap un logo tak share zaroor kare. Jo pimples se pareshan hai.

Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.

Also read technology interested person..

2 thoughts on “Chehre se pimples kaise hataye?| pimples hone ka kuch karan!

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *