Article 35A kya hai, What is Article 35A in hindi – Knowledgefinder

Article 35A kya hai, What is Article 35A in hindi

Hi Dosto, Aaj is post pe hum janenge government dwaara naya law jo article 35A hai uske baare me. Article 35A kya hai aur article 35A ka matlab kya hai. Ye kispe laagu hai aur kispe nahi insab bato ke bare me details me janenge to is post ko end tak read kijiye. Apko article 35A ke bareme pta chal jayega.

Article 35A Kya hai
Article 35A kashmir ki citizenship se related ek article hai jo article 370 ke under laaya gyaa hai.

Article 35A kya Hai in hindi

Article 35A constitution me shamil ek provizon hai jo Jammu & Kashmir vidhaan mandal yaane legislature ko ye right provide karta hai ke wo ye tay kare ke jammu aur kashmir ka sthaayi nivaasi yaane permanent Residence kon hai aur kisi sarvajanik kshetriyo ki naukariyon me kisko special reservation diya jaayega.

Kise property kharidne ka adhikaar hoga aur kise jammu aur kashmir vidhaan sabha chunaav me vote daalne ka adhikaar hoga. Scholarship aur dusri government Facilities aur social welfare programs ka fayda kise milega.

Article 35A ke Provizons
1. Article 35A me ye provizon hai ke agar rajya sarkaar kisi kanoon ko apne hisaab se badalti hai to use kisi bhi court me chunauti nhii dii jaa sakti

2. Article 35A jammu aur kashmir ko rajya ke roop me special rights provide krta hai iski tahet diye gaye adhikaar citizens se jude hue hai. Iska matlab ye hai ke jammu aur kashmir ki sarkaar ko ye adhikaar hai ke wo aazadi ke waqt dusre jagh se aare refugies aur dusre bhartiya nagrikon ko jammu kashmir me kis tarah ki sahuliyat de ya kisi bhi prakar ki sahuliyat hi na de.




Article 35A Indian Constitution se kab juda.
14 May 1954 ko Taktalin Rashtrapati Dr. Rajendra Prasad ne ek aadesh paarit kiya tha aur isi aadesh ke zariye bharat ke sanvidhaan me yaane indian constitition me ek new article 35A jod diya gaya.

Article 35A parliament se pass nahi kiya gaya hai. Kanoon bnaane ka jo ek process hota hai ke pehle use parliament me pass kiya jaata hai uske baad rashtrapati ke signature se wo kanoon banta hai aisa yahan par nahi hua tha infact parliament me ye pesh hi nahi kiya gaya tha directly rashtrapati ne ispe signature kiyr aur is kanoon ko laagu krdiya gaya.

Article 35A ke Effects
1. Ye article kisi gair kashmiri admi ko kashmir me zameen kharidne se rokta hai

Article 35A ke Kanoom Kya Hai in Hindi

2. Dusre Rajya/ State ka nivaasi jammu aur kashmir ka sthaayi nivaasi nhi ban sakta jiske kaaran wo wahn vote bhi nahi daal sakta.

3. Agar jammu kashmir ki ladki kisi bahar rajya waale ladke se shadi kr leti hai to uske saare adhikaar khatam ho jaate hai. Sathme uske bacchon ke adhikaar bhi khatm ho jaate hai.

4. Ye Article Bharat me citizens ke sath bhedbhaav krta hai kyunki is article ke laagu hone ke kaaran bharat ke logo ko jammu kashmir ke sthaayi nivaasi ke adhikaar se refuse kar diya gaya hai.




To ye thi Article 35A ke baare me jankaari. Aap is article se sehmat hai ya nahi comment me zaroor btaaye. Post ko apne family aur dosto ke sath share zaroor kare taaki kuch bhi chiz krne se pehle in sabke baare me jaan le.

Aise hi knowledgebale post paane ke liye www.knowledgefinder.in ko follow krna na bhule. Apka ye post read krne ke liye bahut bahut dhanyawad.

 

4 thoughts on “Article 35A kya hai, What is Article 35A in hindi – Knowledgefinder

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *