RRR movie Release date ? Story in Hindi

Namaskar doston aaj is post ke jariye multi starr film RRR ke bare mein kuch jaankari aap logo se share kar raha hu. Agar aap RRR film ke bare mein janna chahte hai to is post ko antim tak jarur padhe, umeed hai yeh post aap ko pasand aayega dhanywaad.

RRR movie Kahani ? Review

Yeh kahani hai Bharat ke mahan swatantrata senani Alluri Sitaram Raju aur Komaram Bheem ke baare mein hai yeh kahani hai bharat ke do veer yoddhaon ke baare mein jinhone aapni desh ki raksha aur swatantrata ke liye angrejon aur Hyderabad ke Nijam se lade aur veergati ko praapt hye.

Humara desh Bharat ko ajadi to 15 August 1947 ko mili lekin isse pehle lagbhag 100 saalon tak mughal aur angrejon ne shasan kiya. Is dauraan bahar se aye in luteron ne desh ko luta aur desh ki sanskrit ko barbaad karne ki koshish bhi ki thi. Jaha mughalon ne bharat mein fut daalkar barabar luteron ki tarah is desh ki sanskriti shaurya aur itihaas ko barbaad karne ki koshish ki, wahi angrejon ne bharat ki shiksha vyavastha bharatiyon sanskriti aur bharat ke svarnim itihaas ko mitaane ki bhi puri koshish ki thi.

Hum log bharat ke liye veergati ko praapt hone wale mahan swatantrata senaniyon ke baare mein bahut kam jante hai aur agar yehi chalta raha to humare aane wali pidhi kahi unhe bhul na jaye. Doston film industry humesha se bhartiya sanskriti aur iske swarniv itihaas ko jhut lata aya hai. South ke diggaj director S.S Rajamouli ne bharatiyon sanskriti aur itihaas par Baahubali ke bad aapni noi sabai badi film RRR ko release karne wale hai.

Is film mein bharat ke 2 swatantra senaani mahan Alluri Sitaram Raju aur Komaram Bheem ki kahani dikhai jayegi. Yeh S.S Rajamuoli career ka sabse bada budget ka film hai. Is film ka production value 400 crore hai aur is bad se andaja laga sakte hai ki humare swatantrata senaniyon ki kahani ko dikhane ke liye is film mein kitni mehnat ki gayi hai.

RRR movie release date

Bata de ki kuch waqt pehle RRR ki release date samne ayi thi. Tab kaha gaya tha ki film 13 October 2021 ko cinema gharon mein release hogi. Lekin RRR ki social media page se yeh jaankari di gyi thi ki film october mein release nahi hogi, jiski vajah covid hai par ab jab har jagah theatre khulne lage hai. To makers ne der na karte hye iski release ka fesla liya hai, ab yeh film 7 January 2022 ko release hone ja raha hai.

Caste

  • Jr N.T.R as Komaram Bheem
  • Ram Charan as Alluri Sitaram Raju
  • Ajay Devgan
  • Alia Bhatt as Sita
  • Olivia Morris as Jennifer

At last

Toh dosto yeh tha aaj ke topic RRR film ke bare mein, asha karta hoon abhi aap jan gaye hai RRR film ke baade mein. ummeed hai yeh post apko pasand aaya hai.

Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.

Also Read..

3 thoughts on “RRR movie Release date ? Story in Hindi

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *