Dosto aaj hum digital jamane main reh rahe hai, hum sara kaam ab digital tarike se karte hai.
Aaj kaal hume internet or digital machine ne bahut age le gaya hai, app jo bhi kaam karna chahte hai, wo sabhi kaam hum asani se karte hai.
Chote se lekar chote kaam tak, bade se lekar bade kaam tak hum aaj kal asani se kar sakte hai.
jaise ek kaam ye hai ki pehle jab hume paise nikal na chahte the tab hume bank main jakar lambi line lagana padta tha.
lekin aaj kal paise nikal ne ke liye bank main jakar itna lamba line lagane ki jarurat nahi hote hai.
Hum aaj kal asani se paise nikal sakte hai, hum aaj kal bank ke ATM se asani se paisa nikal sakte hai.
To dosto aiye is post par hum jante hai ke ATM se paisa kaise nikale, ATM ka full form kya hai, ye sab ke bare main.
ATM se paise nikalne ke tarike?
ATM main paisa nikalne ke liye apko pehle ATM machine main apna ATM card dalna padega.
ATM card dalne ke bad aapka do situation ho sakta hai, ya apko card nikalne ko kaha jyega ya to phir card nikal ke liye mana karega.
Agar aapko card nikalne ko kaha jaye to aapko card nikal lena hai or kaha jaye ki card nahi niklana to nikaliye maat.
Uske bad ATM machine ke screen par kuch option aa jayega, jis options main se aapko ek option par click karna hai.
Wo option hai Banking ka, Apke banking option par click karte hi aapke screen par language select ka option aa jata hai, jis pe kuch language hote hai.
Us language main se aapko ek language select karna hai, uske bad aapke screen par 25 se 99 tak ke number press karne ka option ata hai.
Aapko press karn hai koyi ek number. Uske bad aapke screen par aapke naam aa jata hai, agar ye ATM aapka ho to.
Uske bad apke screen par aapke pin number enter karne ke option aa jate hai.
Aapko apne pin number dalna padega waha par, uske bad ATM screen par kuch option a jata hai.
Usme se aapko cash withdrawal option par click karna hai. Waha click karne ke bad ATM mechine ke screen phir se do option aa jate hai.
In do option main se aapko ek option par click karna hai, wo option hai from saving.
Waha click karne ke bad ATM ke screen par enter amount ka option aa jata hai, uske bad yes option par click karna hai.
USke bad aapke paise ATM machine se nikal jata hai, or aapke haath main aa jata hai.
Lekin ek baat ka hamesha dhyan rakhe ki PIN number enter karte koi aapke PIN number dekh na le, nahi to aap ke account ke sara paisa le jayega.
Last Word:
Toh dosto yeh tha ATM se nikal ne ke tarike ke bare mein kuch jankari, asha karta hu apko yeh jankari pasand aaye hai ,aur umeed he ki isse aap logo ko kuch janne ko janne ko mila ATM se paise nikalne ke bare mein.
Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.
Ye bhi padhe:
- Internet speed check karne ka asan tarika!
- किसी भी बैंक खाते के बलांस चेक कैसे करे (तरीका)
- Google duo app ke bare mein jankari!