WordPress Plugins: Rank Math vs Yoast SEO ? Konsa Best hai ? Hi, aagar aap ek blogger hai or apne hal hi me website banaya hai ya phir pehle google ke free blog platform blogger pe the abhi WordPress me aaye hai to yeh post aapko pasand aayegi.
Aaj is post me hum compare kiya hai WordPress Plugins: Rank Math vs Yoast SEO ? Konsa Best hai ? aapko is post me Rank math Seo Plugin or Yoast SEO plugin ke bare me jankari milenge.
Rank Math vs Yoast SEO
Yeh dono hi SEO plugin hai jo ki ek WordPress website me installed hona jaruri hai, SEO kar ke bina blog post likhna sirf mehnat hi hoga itna fal or fayda nahi milenge, isiliye WordPress users or bloggers ke liye yeh sabhi plugin aaye hai to aap kounsa plugin istemal karenge yeh post padhne ke bad ashani se decide le payenge. In dono plugin ke bare me kya kahana apko halaki yoast seo kafi purana hai jisse aap ispr aankh mund kr bharosa kr sakte hai, lakin Rank math bhi km nhi hai dosto.
Is dono pluign ke bare me behatr jankari ke liye hm apke dono plugin ko compare krenge taki aap khud decide kar ke use kare, but meri recommendation, yahi hogi ki aap rank math use kre uske liye niche ki line jaroor padhe.
Yoast seo kafi purana hai, lakin rank math ko abhi jyada time nhi hau hai, lakin iski installation takriban 1 lakh tk pahuch chuki hai, so aap andaza lga skte hai, ki bhi ye kitna powerful seo plugin hai,
- Agr aap yoast seo plugin ka free version use karenge to apko jyada facilities nhi milegi, jisse aap apne post ko jyada seo nhi kr payenge, jisse apka post google me rank hi na kr paaye Lakin agr aap rank math use krte hai, to apko wo saare facilities milegi jo apko yost seo me nhi milta tha kyoki rank math abhi new hai, jiske karan wo saare facilities ko free me provide kra rhi hai,
- Yoast seo me apko post ke andar ki pure keyword ki jaankari shayad na de lakin rank math apko pura dega, isme aap ko harek detail dega jisse aap post ko 100% seo optimize kr skte hai.
- Yoast ke mukable rank math me bahut se new feature ko add kiya gya hai, jisse aap apni site ko google me fast rank kra skte hai. Jyada jankari ke liye aapko khud use krna hoga taki aap is feeling ko samjh ske, or feel kar sake
Rank math Plugin user interface
rank math plugin jab install karenge to post likhte smay % dikhayega ki aapka article kitna percentage SEO hua hai or article ke niche Rank math ke taraf se suggestion dega ki kya karne se aapka article 100% SEO optimize hoga. aap niche Screenshoot dekh skte hai jo ki rank math plugin ke hai.
Yoast SEO Plugin user interface:
Baat kare Yoast seo interface ki to yeh bhi suggestion deta hai kya kya chije karna hai jisse Pura Seo optimize post ho, uske alawa yoast seo plugin istall karne ke bad article ke end me yoast ke icon rhega uspe Red raha toh seo optimize nahi hua or green hone se SEO optimize hai. aap niche screenshot dekhe jo Yoast seo plugin ke hai.
Toh yeh tha aaj ke jankari WordPress Plugins: Rank Math vs Yoast SEO ? aasha karta hu aabhi apko jankari mil gaya Plugins Rank math seo aur Yoast Seo me se kounsa best hai.
“Hamare Blog ke Latest update paane ke liye Bell Icon Subscribe kare, facebook page bhi like karna na bhule. Article padhne ke liye aur Knowledge finder Visit karne ke liye aapka Bahut Bahut Dhanyawad.”
Yeh Bhi padhe-
- Blogging tips: Photo compress Kaise kare, Photo compress karne ka fayde…
- Sponsorship kya hai | Sponsorship से पैसे कैसे कमाते है ?
- Top 10 Best Hindi Website 2019 | Hindi Blogs/websites list
- Blog के लिए High Quality Backlinks कैसे बनाये!
Ye interface to old wala hai ya to aapne Seo plugin update nahi kiya ya aap editor ke liye classic Style me post likh rahe ho
new wala hai, darasal mera editor classic hai.