Zaheer Khan biography in Hindi! About Zaheer Khan in hindi!
Bharat ek cricket premi desh hai. bharat mein sabse pasandida khel hai cricket, jo bharat ke logo ke dilo mein raj karta hai.
Bharat mein kisi bhi cricket tournament ek tyohar ki tarah hota hai. bharat ke lag bhag sabhi log cricket dekhte hai.
Bharat mein cricket itna popular hone ka karan hai, Bharat ke mahan khiladiyo ke khel.
Bharat ne bahut bade bade cricketaro ko janm diya hai, jiske badulat bharat aaj duniya mein cricket mein ek number hai.
Bharat un mahan khiladiyo ke bare mein hume janne chahiye. Bharat ke un mahan khiladiyon ke bich ek khiladi hai Zaheer Khan.
To dosto aiye is post par hum jante hai ki Zaheer Khan ka janm kaha hua, Unka carrier ki shuruwat kaise huye ye sab ke bare mein.
Zaheer Khan ke mata pita ka naam!
Zaheer Khan ke pita ka naam hai Bakhtiyar Khan or unka mata ka naam hai Zakia Khan.
Zaheer Khan ke ek chota bhai hai jiska naam hai Zeeshan Khan or unka ek bada bhai hai jiska naam hai Anees Khan.
Zaheer Khan ka janm:
Zaheer Khan ka janm 8 October 1978 ko Maharashtra ke Shrirampur zila main hua tha.
Zaheer Khan ki wife:
Zaheer Khan ki wife ka naam hai Sagarika Ghatge, jo ek bollywood actress hai.
Zaheer Khan ke nick name:
Zaheer Khan ke nick name hai Zak, Zippy, Zakky.
Zaheer Khan ke jeevan parichay!
Zaheer Khan ek retired indian Cricketer hai, Zaheer Khan ek left arm fast bowler the.
Zaheer Khan ne bahut sari record apne naam kiya tha. Zaheer Khan indian cricket team ke bade khiladiyon main se ek hai.
Zaheer Khan ke carrier:
Zaheer Khan ka carrier ke suruwat cricket se hi huwa tha. Zaheer Khan ke apne pehle domestic match ka shuruwat ki thi 1997 main.
Zaheer Khan ek former bhartiyo cricketer hai. Zaheer Khan ne apna pehla test san 2000 mein khela tha bangladesh ke khilaf.
ODI debut kiya tha san 2000 mein kenya ke khilaf, T20 debut kiya tha South Africa ke khilaf san 2006 mein. Zaheer Khan ek Left-Arm Fast Medium Bowler tha.
Zaheer Khan ne test cricket mein 311 wicket, ODI mein 282 wicket or T20 mein 17 wicket liya tha.
Zaheer Khan 2011 ka World Cup mein highest wicket tacker bowler tha.
Zaheer Khan retirement:
Zaheer Khan ne 15 October 2015 ko international cricket ko alvida keh diya tha.
Zaheer Khan as coach:
Zaheer Khan ko 2017 main Indian National Cricket team ka bowling consultant ke rup main appoint kiya gaya tha.
Last word:
Toh dosto yeh tha Zaheer Khan ke bare mein kuch jankari. aur umeed he ki isse aap logo ko kuch janne ko mila Zaheer Khan ke bare mein.
Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.
Ye bhi padhe:
- 5 legal way to earn money Online in Hindi -2020
- Shreya Ghoshal biography in hindi!
- सुभाष चंद्र बोस जीवन परिचय|Subhash chandra bose biography in Hindi