puri jankari RAC ke bare mein, What is RAC in train ticket, RAC meaning in Hindi
Dosto, aapka swagat hai knowledge finder blog mein, hum aaj janenge train se safar karne ke liye jo kuch prasano hamare man mein aate hai woh jo ki RAC ko lekar hai apke man me bhi yeh sawal jarur aate hoge ya fir ayega ya toh aaya tha ki RAC ticket ko lekar jo hmne upar title me bataye hai,.
RAC ka kya matlab ?
RAC ka full form Reservation against cancellation hai. Iska matlab hai reservation ticket cancell karne par RAC wala ticket confirm hoga. Manlijiye aapne ticket book kiya RAC 100/RAC 70 aisa hai toh apka ticket tab confirm hoga jab 70 log ticket cancell karenge.
Ticket confirm hoga ya nahi RAC wala ?
iska guarantee koyi nahi de sakta RAC se confirm hoga ya nahi ho bhi sakta hai nahi bhi ho skta hai. Iska andazaa hum yeh laga sakte hai hamare ticket RAC kitne number para hai or kitne number par current hai iska defferent dekhkar hum anzadza laga sakte hai ki confirm hoga. Jaise manlijiye hamare Ticket RAC 200 Me hai or hamare current status 70 hai toh iska hum andaza laga sakte hai ki 130 se jyada logone cancell ki hai toh 70 toh hoga hi toh confirm hone k chances jyada hai.
RAC ticket confirm nahi hoga toh travel kar sakte hai ya nahi ?
yeh sabse mahutrpurna sawal hai kyuki log kafi pareshan rehta hai akhir unke ticket confirm hoga ya nahi RAC ticket confirm nahi hua toh yatri nahi kar sakte lekin dosto nischit rahe ki RAC ticket se bhi travel kar sakte hai bas iska kuch condition hai. RAC ticket se yatri kar payenge bas aapko confirm ticket ke jaise benefits nahi milega RAC ticket se jab travel karnege toh ek seat ko do RAC ticket person ko milega. Yani aadhi seat me aap bhetenge or aadhi me dusra koi RAC ticket wala bande.
RAC ticket se travel krne ke liye seat/ coach number kab milega ?
Jab hum RAC ticket dekhte hai usme seat coach number nahi rahte toh iska jawab hai apko seat number milenge lekin journey date ke din jab journey time ke 4 ghante pehle chart preparation hoga tab apko RAC ticket ka seat or coach number milenge. Iska status aap message ke duawara or PNR status check karke Jan sakte hai.
At last:
Toh dosto yeh tha Train ticket ke RAC ka matlab kya hai is bare mein, RAC ticket confirm nahi hoga toh travel kar sakte hai ya nahi ?RAC ticket se travel krne ke liye seat/ coach number kab milega ? in sabhi prasana ka jawab, umeed hai apko yeh post pasand aya or accha laga.
Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.