Hello, Aaj Is post mein Talatal Ghar ke baare mein batayenge, talatal ghar ko kab banaya aur kisne banaya, yeh kaha par hai, talatal ghar mein jane ke liye kya rules hai, Talatal Ghar kaise banaya tha yeh sabhi jankari janne ko milenge. Asha karta hoon apko yeh Post pasand aayegi end tak jarur padhe.
Talatal Ghar ko kisne aur kab banaya tha
Swargadeo Rudra Singha ne 1702-03 mein banaya tha. Fir Garhgaon se Rangpur mein Ahom Saamraajy ki Raajadhaanee mein sthanantarit kar diya. Eske bad lagbhag ak sadee tak Rangpur ka Raajadhaanee raha. Yeh sabse pehle Swargadeo Rudra Singha ne 1698 Ad. mein banaya tha. Yeh Sivasagar ke Pachahimi bag mein sthit hai.
Talatal Ghar kaha aur konse state mein hai
Talatal Ghar India ke upari Assam ke Sivasagar se 4 km door, Rangpur mein sthit hai.Talatal Ghar sabhi tai Ahom ke smaarako mein yeh sabse bhaara bhi hai aur yeh tai Ahom ke sabse shaandaar udhaaharan mein se ak hai.
Talatal Ghar mein jane se pehle kuch bataein jaan lijiye
Ajkal tourist ko kebal pehli manjil, aur Talatal Ghar ki doosaree manjil aur teesaree manjil ko dekhni ki anumati hai. Jameen ke niche sthit Talatal Ghar ke manjil ko band kar diya hai. Kyuki tourist aapni bhoolabhulaiya sanrachna mein kho jate hai aur iske bad kabi nahi suna gya.
Talatal Ghar kaise banaya tha
Talatal ghar ak jaga hai jise suru mein sainikon ko rahne ke banaya gya tha. Aur iske teen manjil ke niche doo gupt surang hai aur yeh surang ladaee ke bad bhaagne ke liye estemaal kiya karte the. Rangpur mahal ak saat manjila sanrachana hai.
Swargadeo Rajeswar Singha ne jameen ke niche teen manjil ko joor kar Talatal Ghar banaya tha. Yeh eenton aur cement se banaya gya tha. Lagbhag 3km ki duri par Talatal ghar ko Dikhow River ke saat joora gya tha. Jabki doosre bhag 16 km lambe ne Garhgaon mahal ko netritv kiya aur dooshmon ke hamle se bachne ke liye estemaal kiya gya tha.
Rangpur mahal ak bar eenton ki durg aur pani se bhaare kile se ghira hua tha. Mahal ke pas ak Gola Ghar(barudh aur gola barudh ki dukan) hai.
At Last
Toh dosto yeh tha aaj ke topic Talatal ghar ke bare mein, asha karta hoon abhi aap jan gaye hai assam ke Talatal ghar kaha par hai aur yeh kyu kab banaya tha. ummeed hai yeh post apko pasand aaya hai.
Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.
Also Read…
- Sabse jyada fixed deposit rates ? Janiye koun kounsi bank mein hai..
- Captcha क्या होती है?|वेबसाइट्स में captcha क्यों लगाते है ?
- Salary slip kya hota hai?|yeh kab jarurat hoti hai ?