Sunil Grover ke bare mein!
Indian film industry main bahut bade bade comedian sitare ate rahe, sabhi sitare apne apne samay mein bahut hi famous the. Sabka apna apna ek time hota hain, jis period mein wo bahut famous hota hain.
Sabhi apne apne bato se apne apne acting se sabko hasate hai. Sirf indian film industry hi nahi walki kuch reality show bhi karta hai.
Indian film industry ke arambha hone se hi bahut sare sitare aye,or apna jalwa dikhaya hain.Lekin jaman badalta gaya or jamane ke hisab se bade bade sitare ate rahe.
To pehle ke jaisa aaj ke jamane mein bhi bahut bade bade comedian star hain,jinme se ek aise comedian star jo sab ke dil main raj karta hain,nayi pidi ke bich kafi famous hain,or wo big star or koyi comedy superstar Sunil Grover, jinke naam se hi pehchan hai.
To dosto aiye is post par hum jante hai ki Sunil Grover ka janm kab huwa tha, Sunil Grover ke success story, Sunil Grover ke jibon parichay ye sab ke bare mein.
Sunil Grover ke janm:
Sunil Grover ke janm 3 August 1977 ko Sirsa, Haryana mein huwa tha.
Sunil Grover ke family:
Sunil Grover ke pita ka naam J.N Grover.
Sunil Grover ke wife or children:
Sunil Grover ke naam hai Aarti or unke bache ke naam hai Mohan.
Sunil Grover ne Punjab University Punjab se Master Degree kiya tha.
Sunil Grover ke acting jibon:
Sunil Grover ek comedian kalakar hai, unhone apne comedy acting apne logo ko kafi entertainment kiya hai, jiske karan wo aaj logo ke bich kafi famous hai.
Sunil grover ne apne acting ki suruwat ek silent comedy show se kiya tha, jiska naam tha “Gutur Gu”, Is show ke 26 no episode mein acting kiya tha sunil grover ne.
Uske bad Sunil Grover ne colors tv ke show “comedy nights with kapil” mein kam kiya tha Kapil Sharma ke saath, jis show se Sunil Grover kafi famous ho gaya tha.
Uske bad Sunil Grover ne phir Sony tv ke famous show “The Kapil Sharma Show” mein phir se kapil ke saath kaam kiya tha. Lekin is show ko Sunil Grover ne bich mein hi chor diya.
Sunil Grover ne bahut sare hindi filmo mein kaam kiya hai, jiske list niche diye gaye hai:
Year | Title | Role |
---|---|---|
1998 | Pyaar To Hona Hi Tha | Barber Totaram |
1999 | Mahaul Theek Hai | |
2002 | The Legend of Bhagat Singh | Jaidev Kapur |
2004 | Main Hoon Na | College Student |
2005 | Insan | Mahesh |
2006 | Family: Ties of Blood | |
2008 | Ghajini | Sampat |
2011 | Mumbai Cutting | |
2013 | Zila Ghaziabad | Faqeera |
2014 | Heropanti | Driver Devpal |
2015 | Gabbar is Back | Constable Sadhuram |
2016 | Vaisakhi List | Tarsem Lal |
Baaghi | P. P. Khurana | |
2017 | Coffee with D | Arnab Ghosh |
2018 | Pataakha | Dipper |
2019 | Bharat | Vilayti Khan |
Sunil Grover ke awards:
Sunil Grover ko 2013,2014 or 2018 ko ITA Award For Special Mention Comic Icon ka award mila tha.
STAR Parivaar Award for Favourite Mazebaan mila tha unko.
Last Word:
Toh dosto yeh tha Sunil Grover ke bare mein kuch jankari, asha karta hu apko yeh jankari pasand aaye hai ,aur umeed he ki isse aap logo ko kuch janne ko janne ko mila Sunil Grover ke bare mein.
Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.
Ye bhi padhe:
- Power bank se mobile charge karna mobile ka nuksan hai ? |best power bank…
- ISRO Kya hai|About ISRO in Hindi!
- 10,000 mAh PowerBank Under Rs.999|Best power bank under Rs.999