Star Maker kya hai ? | Star maker Vs Smule. Konsa best hai !
Star Maker Kya hai
Star maker ek gana gane ka Application hai, ya ni Singing apps aap is app par khud gana ga payenge, or isme Background music bhi automatic hota hai, jaisa aap ek gana gayenge toh, us gane ka Music ke sath automatic set ho jayega. sath me aap gane gate samay Lyrics bhi dekh payenge, jisse agar aapko gana yad nehi rahega toh aap yad krke gaa payenge, toh dosto aapko toh yeh pata chal gaya ki Star maker kya hai, star maker app ke bare me, or iska features bhi jaisa lyrics, Music ke bare me mene bola. aaiye aab jante hai Star maker app ko kaise use kare.
Star maker app Singing features
- Lyrics ka subhida hai
- Duet song gaa payenge
- video ke sath sing kr payenge
Star maker app kaise use kare !
Dosto Star maker kaise use kare, mane Star maker par gane kaise gate hai wohi bata rha hu. Star maker par gana gane ke liye aap Google play store se app ko download krna hoga. me is post ka end me Download link bhi de dunga aap woha par click krke download kr payenge. aab bat kare app open krne ke bad kaise gana sing kare ya ni gaye kaise. Dosto Star maker par gane gana bahut hi easy hai. aapko sabse pehle song ko select krna hoga jis gane ko aap sing krna cahate ho, aab bata deta hu woh song aapko kaise milega simple he aapko Star maker app ke andar Search krne ka ek box rahega woha par aap gane ka naam, movie, ya fir us song ko sijne gaya singer ka naam likh denge toh aapko. woh song mil jayenge or aap ga payenge.
Note :
- Dosto sing karte samay Headphone lagaiye Mobile par taki accha quality sound record ho.
- Or ek bat aap jo bhi song ko gayenge woh select krne se pehele us song ka hi 2 3 pehele sun lijiye konsa jyda accha quality ka hai, woh select krke sing karenge toh or accha lagega aapka gaya hua gaan bhi.
Star maker Vs Smule, kaunsa best hai
Dosto, Star maker or smule do apps se ksa jyda accha hai iske bare me bhi jante hai, lekin usse pehle thoda Smule app ke bare me bhi bat karu, Smule app bhi Star maker ke jaisa hi Singing app hai, Smule app 2012 me IOS par launch hua tha, IoS mane Apple ka phones par, uske bad 2013 me Android par launch kiya gaya tha, Star maker app sayed smule app ke bad launch kiya gaya tha.
Star maker Vs Smule
bat kare knsa best hai toh dosto aapko me dono apps ke bare me upr bataiya or yeha par or kuch bate bataunga jisse apko samaj aa hi jayega ki knsa app best hai Smule ya Star maker.
Smule app Singing features
- Lyrics ka subhida hai
- Duet song gaa payenge
- video ke sath sing kr payenge
Sabse pehle bat karta hu Star maker apps ka khach bate, dosto star maker app totally free hai is app par aapko koyi bhi membership lena nehi hota hai, or ek acchi bat hai Star maker ki jaisa is app aap koyi bhi android version par chala payenge. jo ki smule app 6.1 ke niche version ko nehi chalta hai.
Yeh post bhi padhe – Cloud print kya hai
aab bat kare Smule app ki, sabse pehele dosto is app ka khas bat toh yehi hai ki yeh app bahut pehle launch hua hai, isme bahut logone gane gate hai, jisse aapko Duat gana gane me log bahut jald milega jayega. lekin smule app ja sabse buri bat yehi he ki is app free nehi hai, isme aapko VIP account kharidna padta hai, aagar aap free hi use karenge toh aap unlimited song ko sing nehi kr payenge.
Toh dosto asha karta hu aap jan gaya honge Star Maker kya hai ? | Star maker Vs Smule. Konsa best hai, aap samaj gaye honge. is post ko ho sake toh share kare or hamare Knowledge finder site ka facebook page, twitter ko bhi follow like karna na bhule. Aapko Dil se Dhanybad aapne mera site ko visit kiya hai.
Is site ka kuch or helpful Article aap padh sakte hai. jarur aapko khusi hoga
Aapne itne saare points toh bataay hi nahi ,Jaise ki SMULE mein Bina Wi-Fi ke recording upload nahi hoti Aur Doosro ka bhi galat nahi sun saktay hai….
Han ji, sahi bola apne Thanks for comment
Hii ji main ne toh starmaker par jyada lax iyaa hai and starmaker par recording upload hoti hai
awesome!