Best app files sharing ke liye, SHAREit vs Xender Which is best ? (Hindi)

SHAREit vs Xender Which is best ? | Xender aur Shareit comparison ? Best app files sharing ke liye

Hello friends, aap sab ne aap apna bahut sa time phone mai chatting or data transfer karne mai lgate hai to kya aap ne kabhi socha hai ki konsa file transfer aap sabse best hai. Hala ki mere pass Xiaomi ka phone hai is liye main shareit or mi drop dono use karta hun or aaj mai aapko shareit or xender mein difference ke bare me batane ja raha hu.

Difference between shareit and xender in Hindi

Shareit:

Waise aap sab shareit ka use karte hi honge yeh app dono smartphone users ke liye available hai jo ki IOS or Android hai. Shareit mein jo interface apko dekhne ko milta hai vo jada simple to nahi hai but dekhne mai bhut acha lagta hai.

Shareit mein haal hi ki update ke baad us mai aap bdi game ko jab send karte hai to uski additional file khud transfer ho jaati hai jo ki bhut acchi baat hai. But shareit mai kuch problem muje lgi jo shayad aapko bhi disturb karti hi hongi vo hai isme aane vali ads. Aagar aap shareit ko open karte hai to isme aapko sabse phele ads dikhti hai fir mein interface open hota hai Jo ki bhut bekar hai.

How shareit works in Hindi

Shareit ke bare mein humne bhut kuch jaan liya hai to jante hai ki yeh kaise kam karta hai. Shareit jo hai vo aapki file transfer karta hai apke wifi or hotspot ko use kar ke. Isme ek sender hota hai or ek receiver hota hai jiski help se aap file ko ek phone se doosre phone mai send kiya jata hai or vo bhi bhut easily. Or shareit mai aapko file transfer ki speed bhut kmaal ki milti hai.

  • Xender

Xender aap ko bahut se log use karte hai but yeh shareit jitna popular nahi hai haala ki kuch cheezo mein yeh shareit se yeh aage hai. Jaise ki isme aapko koi bhi ads ni dikhti hai. Or shareit ke hisab se iska UI kafi simple hai. Xender mein bhi wifi or hotspot ka use file ko transfer kiya jaata hai. But jo speed aap shareit mai milti hai vo aapko xender mai nahi milti. Agar shareit mai koi file transfer mail fail ho jati hai to usko fir vahi se start kiya ja sakta hai jab ki xender mai vo file shuru se send karni padti hai.

How xender works in Hindi

Xender ko use karna shareit se different hai thoda. Ismai sender or receiver nahi hota isme aapko ek group bnana hota hai jise ki dosre phone vala banda aapka group join krta hai fir uske baad aapk dono kisi bhi file ko ek dusre ke phone mein bhej sakte hai.

Vaise to xender bhi bhut acha aap hai but yeh speed ke mamle mai shareit se peeche hai isliye shareit best file transfer app hai aaj ki date mein.

Last Word

Toh yeh tha xender or shareit ke beech ka difference. Aise hi Tech Update, Gyan badhe bate, Sports, movie related aur Knowledgeable bate janne ke liye Knowledge finder  facebook page like aur follow krna na bhule.

Agar aapko yeh likh accha laga ho toh apne dosto ke sath share jarur kare, Post Read Karne ke liye aapka Bahut bahut Dhanyawad.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *