Hello friends, Kaise ho i hope acche honge apka swagat hai Knowledge finder Hindi blog par. apko pata hi hai ap hamre old users hai toh hamare is blog par Telecom, Tech Knowledge,Banking, Health tips aur bhi dher sare Knowledgeable Jankari Hindi me article ke madad se Publish ki jati hai toh dosto aaj humne aur ek Telecom Related jankari le aayi hai.
Aaj ki is Post mein hum janenge RD kya hota hai ?, RD account kaise open kare,|Kya Rd open karne ke bad Close kar sakte hai han toh kya process hai Rd close ka, Banking RD se judhe apko jankari milega.
RD kya hai ?
RD ka full form hai Recurring deposit iska Hindi meaning आवर्ती जमा hai, RD account aap apna bank account ke madyam se karna padta hai apka saving bank account par jama dhan jo rehta hai us paisa se har mahina RD account par paisa deposit hota rahega. RD open karne ke liye aapko bank jana bhi jarurat nahi hai aap khud apne Smartphone/laptop se open kar sakte hai. Apka bank account ka Net banking/ mobile banking ke madad se
RD kaise kaam karte hai yani kya system interest aur maturity ka ?
Iska proccess simple hai aap har mahina paisa deposit karte ho toh woh paisa RD account par jama hote hai, Jaise mahina ka 3000 rupeya kiya or apne 30 mahina ke liye kiya toh 3000 karke 90000 deposit hoga apka saving account par paisa maintain rakhna padega udhar se automatic debit hokar apka RD par jama hoga. RD account mein interest ispar intrest tenure ke upar depend hai yani aap jitna jyda din ke liye karenge utna jyda interest milenge Normally har bank ka 6% + rehta hai. aur kuch recommended mahina suggest karte hai jaise agar aap 18 mahina ke liye karte hai toh apko 7% se jyda interest milega.
RD account close ka kya process ?
Agar aap RD account open karne ke bad close karna cahte hai toh bhi isme koi pareshani nahi hai kyuki RD account aap jab cahe tabhi cancel/close kar sakte hai. aur apka bank account par turant paisa credit ho jayega. Manlo aap 6 mahina RD chalaya uspar 12000 deposit hua toh apko 12000 ke sath me 6 mahina ka Interest milakar apka saving account par credit ho jayega. Toh aap jab cahe RD open kare jab chahe close kare. Sab bindaass hai.
Last word:
Toh aaj humne jana RD kya Hota hai | RD kaise open kare, aur RD close/cancel ka kya proccess hai. asha karta hu apko RD se judhe nayi jankari mili hoga.
Hello Dost, Post kesa laga aur apko koi sawal hai Toh comment par jarur likhe, Ho sake toh is post ko Apne Dasto ke sath, social media par bhi share jarur kare, article ke anth me aur shuruwat me share button hai udhar se aap click Karke ashani se share Kar payenge.
Aap hamare Knowledge finder ke latest updates pane ke liye Facebook page like kare, Right side par Bell icon ko subscribe kare! ?
“HAR BAAR KI TARAH APKA KEEMTI SAMAY DEKAR HUMARE ARTICLE KO PADHNE KE LIYE AUR KNOWLEDGE FINDER PAR VISIT KARNE KE LIYE BAHUT BHAUT DHANYAWAAD”
Yeh bhi padhe –
- Online transaction karte samay dhyan rakhe yeh bate
- Fraud call se kaise bache ?
- Credit card user yeh 4 bate jarur dhyan rakhe