Preservative kya hai puri jankari iske fayde in Hindi : Hi doston kaise hai aap, aasha krti hun aap thik hi honge. knowledge Finder Hindi Blog me apka swagat hai, kya Kabhi aapne preservative ka naam suna hai? kya aap Jante Hain preservative kya hai aur preservative ka matlab kya hota hai. Agar aapko nahi pata hai ke preservative ka istemal kyu karte hai, preservative ka istemal kaise karte hai to in sab sawalo Ke Jawab paane ke liye bane rahiye Hamare post ke sath.
kyunki aaj hum apko preservative ke bare me bahut kuch jankari dene wale hai. Aap ki tarah bahut se logo ko preservative ke bare mein koi bhi Jankari Nahin hai Kyunki Hum usko istemal hi nahin karte hai. Aaj hum aapko preservative ke bare mein information Dene Wale Hain yane ki Preservative ke bare me puri jankari.
Preservative kya hai puri jankari iske fayde in Hindi |
Preservative kya hai puri jankari iske fayde in Hindi
Aapne bahut Baar ye notice kiya hoga ke badi badi companies rozana lakho product bnaati hai aur apne yah bhi zaroor Dekha hogaa ki log sabun banate hain jo ke long lasting hone ke sath sath quality me bhi best hote hai. Woh log preservative ko add Karte Hain Taki wo product kharab Na Ho Aur usse koi bhi apni skin Ko nuksan Na Ho.
Hum Jaise normal Logon ko preservative ki puri jankari nahi hoti hai aur na hi hum Ye Baat Nahi Jante ki preservative kya hota hai. Kyunki Hum Sirf apni rojana life ko follow karte hain daily routine mein busy rehte hain, hum kuch naya jaan ne ke liye try Nahin Karte. Jiski wajah se Hamein Maloom nahin hai ki preservative kya hai.
Aur Hamein to already toothpaste mein, moisturizer Mein, lip balm mein aur bahut Sare products me preservative Mil Jata Hai jiski Hum iski bhanak Tak Nahi Lagti ki uske andar preservative hai ya nahi. Kyunki iska taste product me aise ghul mil jaata hai ke hum yakeen hi nahi krenge ke usme kuch milaaya bhi hai ya nahi.
Iski Yah ek khasiyat hai ke yeh na to yeh hame sabun, lip balm ya kisi anya product me dikhayi deta hai or naa hi iski koi sugandh aati hai kyunki yah bhi ek tarah ka chemical hi hota hai jo har kisi product ghul mil jata hai to transparent ban jata hai. usi ke sath sath smell ke mamle me bhi product me ghul mil jaata hai. Isliye iski smell bhi nahi aati.
Kya preservative danger hai?
Preservative Ek Aisi cheez hai jo ki market Mein Milne Wali bahut Sare cheez Mein Shamil Hota hai. Yah ek tarike ka chemical hota hai jo chixon ko ya kisi bhi tarike products ko kharab hone se bachata hai sath hi sath me product long-lasting banata hai. Is chij se Hamein koi bhi nuksan nahi hota hai Kyunki yah bacteria free hota hai.
Aur jo bhi product Hum daily life mein istemal karte hain to unme Jitna Bhi bacteria Paida Hota Hai Ya preservative Hame um bacteria se bachane ka kaam karta hai aur bacteria limit ko control krke product ki quality ko safe banata hai. To Hamein is product se bilkul bhi Khatra Nahin Hai
[su_quote]sirdard kyu hota hai aur isse bachne ke liye 8 upay ko jaan lijiye[/su_quote]
Preservative kaha istemal hota hai?
Preservative bahut sare products me istemal hota hai jaise ke moisturizer, eye shadow, foundation, sunscreen, conditioner, mascara, eye liner, shampoo, lip gloss, concealer, body wash, hand cream, blush, hair color, hair spray, lip balm, lotion, nail polish, baby wipes, baby lotions and soaps, soap (liquid and bar), shaving cream, deodorant, toothpaste, fragrance, hair removal waxes, hand sanitizer aur ultrasound gel me.
Sirf itna hi nahi balki khane wali chizon me bhi preservative add hota hai. Apne bahut baar wah advertisement TV me dekhi hogi jo 5 se 10 minute me nashta/ Breakfast bana deti hai.
Preservative kya hai puri jankari iske fayde in Hindi |
In sab packets me bhi preservative added hone ki wajh se wah bahut din tak tika rehta hai aur kharab nahi hota hai. Agar hume nashta banana hoga to hum sabse pehle maggie ki taraf jaate hai aur isme bhi preservative added hi hota hai.
Agar aap kisi tarah se yah janna chahte hai ke apke chiz me preservative added hai ya nahi to ap jo bhi packets ya products dukaan se kharid kar ya mall se kharid kar laate hai unka description check kar sakte hain. Wahan par jankari mil jayegi ke usme preservative added hai ya nahi hai. Magar Kuch Kuch aise product hote hai jahan iska istemal nahi hota hai. Jaise ke Oil kharab nahi hota chahe wo khane wala ho ya balon me lagane wala
Preservative kaha milta hai
Ye preservative Hamein online or offline Dono jagah par available rehta hai aur Iske 3 types hote hain ek to powder form Mein Hota Hai, Ek liquid form Mein Hota Hai Aur kuch Ye balls Ki Tarah hota hai.
Apne bahut Baar Dekha Hoga Ki kabhi kabhi hum koi product kharid ke laate ho to usme chote packets me white balls aate hai jinko hum waste keh kar fenk dete hai ya hume pata nahi hota isliye bhi fenk dete hai darasal wo preservative hi Hota Hai jo apke samaan ko kida lagane se bachaaye rakhta hai.
Agar apke samaan me kida lag jaata hai to wah saara ka saara anaaj kharab kar deta hai. Apne bahutbaar yah bhi dekha hoga ke log apne kapdo ko bachane ke liye mehekdaar balls ka istemal karte hai inko hum finel ki goliyan kehte hai, To yah ek prakar ka opreservative ho gaya hai jo kapdo ko bacha ke rakhta hai unko kharan hone se bachata hai jiski khushboo se kapde me kide nahi lagte.
Preservative ko kaise istemal kare?
Agar aap kahin bahar se kuch samaan laa rhe hai to usne already preservative added hota hi, magar Jab Bhi aap koi bhi kisi aise homemade remedy se kuch product banaye jisko apko lambe samay tak store krke rakhna hai jaise ki BB cream, soap, lip balm ya shaving cream banaye to usme preservative ko add karna bilkul Na Bhule.
Aapko usme 2-3 bunde preservative ki add kar deni hai ya product ke quantity ke hisab se aap zada bhi add kar sakte hain. Kyunki aap ke product ko kharab hone Se Bachayega aur usse aap ko nuksan bhi nahi hoga aur aap us banaye hue product ko lambe samay tak istemal bhi kar paaoge.
Agar aap kisi product ko nahi bana chahte hai fir bhi preservative ka istemal karna chahte hai to iske liye apko hum 2-3 ideas dete hai. manlijiye apke ghar me bahut saara anaaj tin me bhar bhar ke rakkha hai to aap usme kitanuo se bachne wale preservative ka istemal kar sakte ho.
Yadi apke paas sardi wale kapde hai/ ya garmi wale kapde hai jsiko aap kam pehnte hai to usko apko achhe se rakhna hai wah bhi finel ki goliyan sath me rakhni hai. Taki kapde wale kide apke kapdo ko kutar na aapeyn unko kharan na kar paayen. aap chaho to isko rozaana apne kapdo me bhi rakh sakte ho almari me. Isse bht achhi khushboo aati hai aur yah apko 10-50 Rs me bazaar se aasani se mil jayega.
Conclusion –
To doston ye thi jankari Preservative kya hai puri jankari iske fayde in Hindi ke baare me. Aasha krti hun aap jaan gye honge ke preservative kya hai, preservative kahan istemal hota hai, preservative konse product me hota hai aur preservative ko istemal kaise kare iske baare me.
Agar apko knowledge Finder Hindi blog ki ye post achi lagi to isko share zaroor kare apne friends aur Family ke sath. Apke sawal ho ya Results unko comments me Batana na bhule. Aur jankari paane ke liye hamare website www.knowledgefinder.in ka bell icon press karke allow button par click karen.
Taki hum jo bhi post likhen wah aptak sabse pehle pahunch sake. Apka Hamari aaj ki yah post ko padhne ke liye bahut Bhaut Dhanyawad.
अपने बहुत ही अच्छी जानकारी साँझा की है आपके इस पोस्ट को पढ़कर बहुत अच्छा लगा और इस ब्लॉग की यह खास बात है कि जो भी लिखा जाता है वो बहुत ही understandable होता है.
Dhanyawad aise hi comment kijiyega jisse hume kam karne me acche feel hoga.
Agar mujhe instant gravy premix nd brack fast m preservative dalna h to kya dale nd kitna dalta h pls batae
Plz share home made shampoo preservative, Konsa preservative ham shampoo me istmal kare ,
Thank you for sharing this blog.