Orang National Park Assam India

Orang National Park the beauty of Assam(Northeast) , about Orang national park in Hindi

Brahmaputra aur Barak nadee ghatee ke sath basha Assam purbottar Bharat ke khaas raajya hai. Yeh raajya sanskrit aur prakritik rup se samriddha hai. Assam Bhutaan, Arunachal Pradesh, Nagaland, Manipur aur Meghalaya aadi raajya se ghira hua hai. Himalaya ki shatrasaya mein basha Assam parjytan ke maamle mein kafi khaas mana jata hai. Assam mein ghumne firne aur dekhne ke liye bahut khubsurat jagah maujud hai. Is khaas post mein hum aapko Assam ke prakritik khajaane mein se ak Orang National Park ke baare mein batane ja rahe hai.

Orang National Park kab aur kaise banaya gya tha

Orang National Park purbottar Bharat ke Assam raajya ka ak lokpriy National park hai, Jo Darrang aur Sonitpur jile mein Brahmaputra nadi ke uttari kinaare mein sthit hai. Yeh National Park Rajiv Gandhi Orang National Park ke naam se bhi jana jata hai. Lagbhag 78.81 borg k.m. ke kshetra mein fela yeh Park vibhinn vanaspatiyon, jungli jibon aur pakshiyon prajapatiyon ko shurkshit aashray pradaan karta hai. Ise 1985 mein ak abhayaarany ke rup mein vikshit kiya gya aur 13 April 1999 mein ise National Park ka darja diya gya. Yeha mashliyon ki 50 prajapatiya paye jati hai.

Orang National Park mein kab aana chahiye

Summer season ke dauraan yeh sthan kaafi jyada ushma grahan karta hai, isiliye yeh sthan April se July ki mahine mein kaafi jyada garam rehta hai. Yeha aane ka acha somoy September se lekr March ke waqt ka hai. Is dauraan Yeha ki prakritik saundrjyota dekhne layak hota hai.

Orang National Park mein kiu aye

Is National Park ki yatra aapke liye kaafi maynon se khaas ho sakta hai, vanyajeevon uthshahi logo ke liye ak adarsh sthan hai, jaha aap vanyajeevon ko kareeb se dekh sakte hai. Pakshi premi logo bhi yeha aa sakte hai, yeha sthaniyon ke sath sath pravaahi pakshiyon ki koi prajatiyon ko dekha ja sakta hai. Aap chahe to aashpash sthalon ko bhi brahman kar sakte hai. Aap yeha se Manas National Park ki romentic brahman ke liye bhi ja sakte hai. Iske alawa aap Gandhi Smriti Park, Bornadi vanyajeev aabhayaarany, Pathrughat shaheed minar, Kaamakhya Mandir, Jaypal Pukhari adi ki brahman ka anand le sakte hai.

At last

Toh dosto yeh tha aaj ke topic Orang National Park ke bare mein, asha karta hoon abhi aap jan gaye hai assam ke Orang National Park ke baade mein. ummeed hai yeh post apko pasand aaya hai.

Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.

Yeh Bhi Padhe-

 

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *