Aaj ke digital jamane mein hum bahut age badh gaye hai, digital system se hum apna sabhi kaam bahut aram se kar sakte hai. Ghar baithe baithe hum dur dur ke kaam bhi hum aram se kar sakte hai.
Digital jamane ne humare life style itna easy kar diya hai ki hum aaj kaal online se shoppping bhi kar sakte hai, online se hum apne pasandita sabhi cheez kharid sakte hai.
Online se hum apne dainik jibon mein lagne wale log bhag har cheez ki shopping kar sakte hai, kapde se lekar khilone tak, ghar ke saman se lekar electronic device tak har tarah ke cheez hume online se kharid sakte hai.
Ye sab online se kharidne ke liye hume kuch online app hote hai, jis app o ke madad se hum online se shopping kar sakte hai. Un app o mein se ek app hai Myntra app, jis app ke madad se hum online se shopping kar sakte hai.
To dosto aiye is post par hum jante hai ki Myntra app kya hai, iske order system kya hai, Myntra app ko kaha se kaise install ya download kare ye sab ke bare mein.
Myntra app kya hai?
Myntra ek online shopping app hai, jisse hum online pe shopping kar sakte hai.
Myntra app khas kar kapde ke liye jyada famous hai.
Myntra app kaise or kaha se download ya install kare:
Myntra app ko install karne ke liye pehle aapko google play store pe jana padega, play store pe jane ke bad apko waha search option dikhai dega , aapko us search option par myntra app type karke enter karna hai.
Enter karne ke bad apke device ke screen par Myntra app aa jayega or us app ke niche apko install ke option dikhai dega, phir apko us option ko par click karna hai, waha click karne ke bad apke device par Myntra app install ho jata hai.
Myntra app ke order system:
Myntra app mein product order karne ke liye pehle aapko Myntra app ko google play store se install karna hoga, install karne ke bad is app ko open karna hai, open karte hi aapko Myntra app par log in karna padega.
Yani myntra app mein apko ek account kholna padega. App ko open karte hi apke device ke screen par apka email-id or phone number enter karne ka option ata hai.
Ye sab enter karne ke bad apko apke address enter karne ka option ata hai. Waha apko address enter karna hai, ye address isliye dena padta taki apke order apke pass asani se aye. Ye sab enter ke bad apka Myntra account log in ho jata hai.
Log in hone ke bad apke app open ho jata hai, app open hon eke bad apke screen par kuch products aa jata hai or upar ek search option ata hai, apko apke pasandita cheez ke naam us search option enter karna hai, search karne ke bad apke device ke screen par wo product aa jata hai.
Product screen par ane ke bad apko us product par click karna hai, click karte hi us product ke price apke device ke screen par aa jata hai or uske niche order now ka option ata hi, apko us par click karna hai.
waha click karte hi apka order place ho jata hai.
Last word:
Toh dosto yeh tha myntra app ke order system ke bare mein kuch jankari, asha karta hu apko yeh jankari pasand aaye hai ,aur umeed he ki isse aap logo ko kuch janne ko janne ko mila myntra app ke istemal ke bare mein.
Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.
Ye bhi padhe:
- Amazon par cheeze order kaise kare!
- Mobile के ऐप्स को लॉक कैसे करे|बेस्ट ऐप्स लॉक apps एंड्रॉयड के लिए!
- जिओ सिम को एयरटेल सिम कैसे बनाएं|how to port jio to airtel in Hindi