Internet se paise kaise kamaye ( 5 tarike choice by knowledge finder)

Internet se paise kaise kamaye ( 5 tarike choice by knowledge finder)

Namaskar friends, Internet se paisa kaise kamaye yeh ek aesa topic hai jispar lakho/ hazaro article, post/videos ban chuka hai lekin dosto kuch aise log bhi hai mene dekha jo ki is type ke post/videos dekhte hi uska dimag gharam ho jata hai. Internet se paisa kaise kamaye yeh topic par mein article likhna nehi chata tha, but muje likhne ki mazburi hi manlije Kyu ki mera bachpan se logoke sath bate karna logoka kuch help krke dena mera yeh adat hai.

2012 ke bad muje Internet par kafi logoke sath friendship, dosti hua hai. unlogome se kuch ne muje bataya Jakir tum is topic par post likho me tumhare site ke jariye hi janna cahata hu Internet se paisa kaise kamaye. So mene is topic ko pakadh liya. Is post ka Title “Internet se paisa kaise kamaye (5 Tarike choice by www.knowledgefinder.in) ab apko bata du is type ke title rakhne ka karan aesa title isiliye rakha hu taki mere dosto/users ko pata chale yeh 5 tarike Knowledge finder yani jakir ne khud experience kiy hai. 




Apko me ek Unique bat bata du Online/internet duniya par internet se paisa kamana bahut tarike hai aur hazaro method hai. lekin dosto aj is post mein me aise 5 tarike bataunga jo ki apko besak bahut jyda pasand ayega sath yeh 5 tarika ka Professionality bahut jyda hai. Inme se sabhi tarike aap life time ke liye work kar sakte hai aur income bhi lifetime kar payenge. Halaki yeh 5 o tarike bahut hard hai lekin aagar apko lifetime karna hai aur karne ka junun kr lenge toh apko easy ho jayega.


Toh dosto niche 5 tarike diye gaye hai Internet se paiske kaise kamaye, unme se ap koyi bhi tarike ko apnay aur ap internet se paisa kamaye. bas ek bat bata du 

“Internet se paisa kamana itna bhi easy nhi aur numumkin bhi nehi”

Internet se paise kaise kamaye ( 5 tarike choice by knowledge finder)

No 1 par hai YouTube (Youtuber)



India me hi nehi YouTube world mein bahut jyda hi famous ho rha hai aur YouTube ka audience din ba din barte ja rha hai, Agar ap bhi internet se paisa kaise kamaye soch rha hai toh Top no hai YouTube iske jariye internet se paisa kama sakte hai. YouTube par ap sirf videos banakr upload krke paisa kama sakte hai. Sath me apko Youtuber naam se bhi career ban jayega. YouTube se paisa kamane full details.



No 2 par hai Blogger (Blogging)

Internet se paisa kaise kamaye iske tarika bahut hai par lifetime aur career hone wale way me se yeh 2 number hai Blogger, blogger par ap sirf o sirf post likh kar paisa kama sakte hai jaise Facebook par post krna hota hai wese hi. 

Free blog kaise banaye.




No 3 par hai Fiver.com (Skills basis earn)

Agar apko bahut sare knowledge aur skills hai toh ap fiver se paisa kama sakte hai, internet se paisa kaise kamaye is topic ke bahut hi genuine aur unique way hai fiver.com yeh ek website hai jaha pe lakho log hai ispa ap apne Skills ke mutabik paisa kama payenge.

Fiver se paisa kaise kamaye purah jankari



No 4 par hai social media

India bhi digital ho rha hai aur social media par itne jyda Log add ho chuka hai anewale time par bhi bahut sare log jhud jayenge social platform. Ap social media ke duara bhi internet se paisa kama payenge. Facebook manlijiye, Instagram ho gaya, Twitter aur bhi kahi sare social platform hai. Ispar ap account banakr paisa kama payenge. Business ke motive se istemal karna hoga social media ko.




No par 5 hai freelancer (Online Work kro paisa kamao)

Yeh ek aisa site hai ispar aap logoko kaam karke denge toh voh logose paisa le payenge. ashan basha se bole to is site par apke skills ke anusar kam mil jayenge. Apko bas isme account banana hoga uske bad apko notification
ayega aur apko kam milega.

Aj ke is post par thi online se paise kais kamaye 5 tarike knowledge finder ne choice kiya hua, ap log niche comment karke jarur bataye internet se paisa kamane ke liye inme se kounsa tarika sabse accha, best laga hai. Is post ko share karna na bhule. Thank you so much bane rahiye knowledge finder blogs ke sath aur “Har din kuch naya knowledge paye”

One thought on “Internet se paise kaise kamaye ( 5 tarike choice by knowledge finder)

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *