Hrithik Roshan ke jeevan parichay!

Bollywood actor Hrithik Roshan biography in hindi!

Indian film industry main bahut bade bade sitare ate rahe, sabhi sitare apne apne samai mein bahut hi famous the.

Sabka apna apna ek time hota hain, jis period mein wo bahut famous hota hain.

Indian film industry ke arambha hone se hi bahut sare sitare aye,or apna jalwa dikhaya hain.

Lekin jaman badalta gaya or jamane ke hisab se bade bade sitare ate rahe.

To pehle ke jaisa aaj ke jamane mein bhi bahut bade bade star hain,jinme se ek aise star jo sab ke dil main raj karta hain.

Nayi pidi ke bich kafi famous hain wo,or wo big star hain or koyi nahi, wo star hai Hrithik Roshan, jiske naam se hi pehchan hain.

To dosto aiye is post par hum jante hai Hrithik Roshan ji ke bare mein, unka janm, unka pehla film, unke family ye sab ke bare main.

Hrithik Roshan ji ke jeevan parichay!

Hrithik Roshan ke janm:

Hrithik Roshan ke janam 10 January 1974 ko Bombay ke Maharashtra main huwa tha.

Hrithik Roshan ke Family:

Hrithik Roshan ke pita ka naam hai Rakesh Roshan, jo ek film director or actor hai, Hrithik Roshan ke mata ka naam hai Pinky.Hrithik Roshan ka janm ek filmy family main hua tha.

Hrithik Roshan ke chacha Rajesh Roshan ek music composer or music director hai. Hrithik Roshan ke mata Pinky,film producer or director J.Om.Prakash ke beti hai

Hrithik Roshan is part of new book for boys: Wish I could show it to  11-year-old me, says actor - Movies News

.

Hrithik Roshan ke marital status:

Hrithik Roshan married hai, Hrithik Roshan ka biwi ka naam hai Sussanne Khan, jinke saath Hrithik Roshan ne 2000 san main shaadi kiya tha or 2014 main in dono ka divorce bhi ho gaya tha.

Hrithik Roshan ke carrier:

Hrithik Roshan ek indian film actor hai. Jinho ne bollywood main apne kaam or acting or apne look se bahut naam kamaya hai.

Hrithik Roshan debut film:

Hrithik Roshan film main aane se pehle kuch filmo main apne pita ke saath as a assistant director kaam kiya tha. Hrithik Roshan ne “Khudgarz”,”KIng Uncle”,”Karan Arjun” or “Koyla” film main as a assistant director kaam kiya tha.

Hrithik Roshan ke debut film hai “Kaho Na Pyar Hain” jo san 2000 main release hua tha. Is film main Hrithik Roshan ke saath ke opposite character main the Amisha Patel.

“Kaho Na Pyar Hain” movie release ke year main box office main bahut safal hua or saath hi us saal ke block bluster film bhi ban gayi thi.

Iske bad Hrithik Roshan ne bahut sara film kiya hai jisme se “Koi Mil Gaya”,”Krrish”,”Jodha Akbar”,”War” or bhi bahut sare film hai.

Hrithik Roshan All Set To Make His Hollywood Debut With A Spy Thriller?  Here's What We Know - Entertainment

Last word:

Toh dosto yeh tha Hrithik Roshan ke jiboni ke bare mein kuch jankari, asha karta hu apko yeh jankari pasand aaye hai ,aur umeed he ki isse aap logo ko kuch janne ko janne ko mila Hrithik Roshan ke bare mein.

Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.

Ye bhi padhe:

One thought on “Hrithik Roshan ke jeevan parichay!

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *