Namaskar Dosto, Digital India ke hissa or Digital Bio-metric document Aadhar Card, Bharat me sabhi log aadhar card banane me laga hai or isko banwana bhi chahiye. kyuki Aadhar card ke madad se hume bahut kuch ashan ho jati hai jaise koyi sim lena ho koyi bank account khulwana ho, aadhar aisa Digital document ban gya aadhar se aap bank account, sim card banwayenge toh turant mil jata hai. aaj humne aadhar se related ek jankari lekar aaye hai.
Toh swagat hai apka Knowledge finder ke is naye Article me! Aaj hum janenge Aadhar card status check kaise kare, E aadhar card download kaise kare yani e-aadhar download kaise kare.
E Aadhar Card Download kaise kare?
Aadhar Card Download karne ke liye sabse pehle apko Aadhar status check karna padega Aadhar generated hua ki nahi, aaiye jante hai Aadhar Card Status kaise check kare!
Aadhar card status check karne ke liye sabse pehle apko Aadhar card Official website par jana hoga Website link : https://uidai.gov.in/ isme visit karne ke bad Enrollment Number ke sth date time cahiye Yeh Enrollment number or date time apka Aadhar Acknowledgement receipt/copy par milega, uske bad kya karna hai aap niche step by step dekhe!
Aadhar check kaise kare (Step by Step)
Step : 1 Website visit karne ke bad My Aadhar par click karenge toh apko check Aadhar status option dikhay dega uspar click krna hai.
Step : 2 check Aadhar status par click karne ke bad apke samne kuch aisa ayega jo upar image par hai isme apka Enrollment Number type karna hai enrollment ke sath Date time likhna jaruri hai jaise aap upar dekh skte hai. likhne ke bad Captcha Verification karna hai woh right side me jo number ayega use dekh dekh kar type kijiye, Final apko check status par click krna hai.
Agar apka Aadhar ban gya hai Generated ho gya toh kuch aise ayega jaise ap upar image dekha, Toh abhi aap jan gaye kaise Aadhar status check kare aaye aab jante hai E Aadhar Download kaise kare!
E-Aadhar card ka matlab hai jab apka Aadhar generated ho jata hai toh aap online se Aadhar download karke PDF format me ise print karke apko kayi pe Aadhar submit karna hai toh kar payenge, matlab apko emergency hai toh aap e Aadhar download karke kam chala skte hai Original Aadhar Post office me anetak.
Aadhar card download kaise kare | E Aadhar aise download kare
E Aadhar download karne ke liye aap sabse pehle Aadhar card official website par jaaye Webiste link : https://uidai.gov.in/ uske bad kya krna hai aap niche step by step dekhe!
Step : 1 Aadhar website visit karne ke bad sabse pehle my Aadhar par click kare, fir Download Aadhar par click karna hai.
Step : 2 Download Aadhar par click krne ke bad apko Enrollment no. Date time or captcha verify karna hai. EID number date time or captcha sab type karne ke bad Send OTP par click kardijiye.
Note: I Want a masked Aadhar? isme aap tick mark na kare jaise hi wesa rehne dijiye kyuki agar isko tick mark karke download karenge toh jo Aadhar download hoga usme apka 12 Digit aadhar number hide rahega Aadhar number ke jagah **** ayega.
Step : 3 Send OTP par click karne ke bad apka Mobile par ek OTP ayega 6 Digit number, Jo mobile number aap Aadhar apply form me likha tha usi par, 6 digit OTP number enter kare
Step : 4 uske bad Take a quick survey isme apko bas Yes no par click karna hai final me agar apko post office se koyi aadhar nahi mili toh Did not Receive par select kare, last me Verify and Download par click kardijye.
Toh finally apka aadhar PDF format me download ho jayega, uske bad Aadhar pdf password dalna hai woh hai apka Name se first 4 latter or apka Date of birth ke Year. Example: JAKI1996
Conclusion
Toh aaj humne is Article Aadhar card download kaise kare isme jana hai Aadhar card status check kaise kare, aadhar download kaise karte hai , aur humne Aadhar card status check or download ke liye step by step bataya hai.
Hello Dosto, Post kesa laga aur apko koi sawal hai Toh comment par jarur likhe, Ho sake toh is post ko Apne Dasto ke sath, social media par bhi share jarur kare, article ke anth me aur shuruwat me share button hai udhar se aap click Karke ashani se share Kar payenge.
Aap hamare Knowledge finder ke latest updates pane ke liye Facebook page like kare, Right side par Bell icon ko subscribe kare! ?
“HAR BAAR KI TARAH AAP KA KEEMTI SAMAY DEKAR HUMARE ARTICLE KO PADHNE KE LIYE AUR KNOWLEDGE FINDER PAR VISIT KARNE KE LIYE BAHUT BAHUT DHANYAWAD”
Yeh bhi padhe –
- Voter ID online check kaise kare
- Smartphone ne Hamari life kaisi kharab karta hai ?
- Ghar bhete Online se paisa kaise kamaye