Indian film industry main bahut bade bade sitare ate rahe, sabhi sitare apne apne samai mein bahut hi famous the.
Sabka apna apna ek time hota hain, jis period mein wo bahut famous hota hain.
Indian film industry ke arambha hone se hi bahut sare sitare aye,or apna jalwa dikhaya hain.
Lekin jaman badalta gaya or jamane ke hisab se bade bade sitare ate rahe.
To pehle ke jaisa aaj ke jamane mein bhi bahut bade bade star hain,jinme se ek aise star jo sab ke dil main raj karta hain.
Nayi pidi ke bich kafi famous hain wo,or wo big star hain or koyi nahi, wo star hai Dharmendra ji, jiske naam se hi pehchan hain.
To dosto aiye is post par hum jante hai Dharmendra ji ke bare mein, unka janm, unka pehla film, unke family ye sab ke bare main.
Dharmendra Sahab ji ke jeevan parichay!
Dharmendra ji ke janm:
Dharmendra ke janam ek Punjabi jatt paribar main 8 December 1935 ko British India ke Punjab ke Nasrali main huwa tha.
Dharmendra ji ke Family:
Dharmendra Sahab ke pita ka naam hai Kewal Kishan Singh Deol or Dharmendra Sahab ke mata ka naam hai Satwant Kaur.
Dharmendra ji ke pita ji ek school teacher the. Dharmendra ji ke pita Government Senior Secondary School ke headmaster the, jis school main Dharmendra ji ne padhai kiya tha.
Dharmendra Sahab ke marital status:
Dharmendra Sahab married hai, Dharmendra Sahab ne do shaadi kiya tha. Dharmendra Sahab ne 1954 main 19 saal ki umra main pehla shaadi kiya tha or unke patni ka naam tha Prakash Kaur.
Dharmendra Sahab ne 1980 main us wqat ke mashur or beautiful actress Hema Malini se shaadi kiya tha. Dharmendra Sahab ke kul 6 bache hai, jin bacho main se Sunny Deol, Bobby Deol or Esha Deol bollywood industry main success hua hai.
Dharmendra Sahab ke career:
Dharmendra Sahab Indian film industry ke bahut hi mashur star hai, Dharmendra Sahab 1960s se lekar lag bhag1990s or 2000s tak indian film industry main raaj kiya. Dharmendra Sahab aaj bhi film main kaam karta hai.
Dharmendra Sahab ke debut film:
Dharmendra Sahab ne 1960 main “Dil Bhi Tera Hum Bhi Tere” namak film se apna film career ki shuruwat ki thi.
Uske bad Dharmendra ji ne bahut sare filme bollywood industry ko diya hai. Jisme se “Ankhen”,”Phool aur Patthar”,”Sholay”, “Dharam-Veer”, or bhi bahut sare film hai Dharmendra ji ke. Jisme se jyadatar film hitt hui hai.
Dharmendra ji M.P(Member of Parliament) bhi rahe hai 2004 se 2008 tak bikaner Rajasthan se .
Last word:
Toh dosto yeh tha Dharmendra ji ke jiboni ke bare mein kuch jankari, asha karta hu apko yeh jankari pasand aaye hai ,aur umeed he ki isse aap logo ko kuch janne ko janne ko mila Dharmendra Sahab ke bare mein.
Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.
Ye bhi padhe:
- Amitabh Bachan ke jeevan parichay!
- Mohammad Rafi Biography in Hindi|मोहम्मद रफ़ी जी के बारे में कुछ बाते!
- Dilip Kumar ji ke jeevan parichay!