aaj ka jamana bahut change ho gaya hain. Sabhi cheezo mein aaj ke jamane mein competition aa gaya hain. Waise hi teaching ke mamle me bhi aaj competition aa gaya hai. Yaha is post ke topic CTET bhi ek competitive exam hai.
aaj kaal app jaha bhi job ke liye jaw ,chahe jo bhi job ho usme apko job asani se nahi milte hai. Uske liye apko jarurat hoti hain entrance exam ki , jo ki ek competitive exam hai. Matlab app jaha bhi jo app ko competitive exam dena hi padta hain.
aaj kaal job pana pehle jaisa asan nahi raha, aaj kaal teaching job ke liye bhi apko entrance dena padta hain. teaching ke liye ek state wise hota hain or ek hota hain centrel ke taraf se entrance exam.
Ek exam ka naam hain TET or dusra exam ka naam hain CTET. Isme se CTET central ka hota hain.
To aiye is post par hum jante hein ki CTET kya hain, iske syllabus kya hain ,in sabke bare mein.
About CTET in Hindi!
CTET ka full form kya hota hai:
CTET ka full form hain Central Teacher Eligibility Test. Ye exam central dwara hi conduct karaya jata hain.
CTET kya hain:
CTET ek competitive exam hain, ye exam teaching ke liye conduct kiya jata hein. CTET central ke dwara conduct karaya jata hein. agar koyi is exam mein pass karta hain to uska teaching job pakka hota hain. Ye ek bahut hi high level ka exam hain.
Ye exam dekar pass hone par apka bahut asse school mein posting ho jata hain.
CTET ki eligibility:
CTET ke liye apko minimum 50% ke saath senior secondary ya graduate hona jaruri hain, or saath mein 2 saal ki Diploma in Elementary Education(De.El.Ed) ka hona jaruri hain. App kisi bhi stream se apna senoir secondary or graduation complete kar sakte ho.
CTET ke taiyari kaise kare?
CTET ke taiyari karne ke liye apko pehle CTET ke bare mein puri jankari hona jaruri hain. isse pehle apko CTET ke syllabus ke bare mein pura janna padega, yani ki CTET main kya ata hain, kaunsi kaunsi subject ke bade mein padhai karna padta hain, un sab cheezo ke bare janna jaruri hain.
jab ki CTET ka syllabus bahut bada hota, isliye hume sabhi syllabus clear karne ke liye ek sahi time table ka hona jaruri hain. Taki hum samai ke saath hi apna pura syllabus complete ho jayega or exam se pehle jyada pressure bhi nahi hota or apna exam bhi asse se nikal jayega
CTET ke syllabus:
Child development and pedagogy: ye ek sisu related subject hain, jisme sisuo ke bare mein sab kuch hota hain. Isme se CTET exam mein ate hain 30 marks.
Mathematics: Is part par maths se related cheeze ate hain. is subject se CTET par marks ata hain 30 marks.
Environmental studies: ye subject environment se related hota hain. is subject ke topic hote hain totally environment ke upar hota hain, hamare environment kyu kharab hain,pollution kya hain, ye sab basic cheezo ke bare mein. is subject se 30 marks ata hain CTET exam mein.
English: is subject par apka ability enhencement ke bare mein hote hain, saath hi grammer ka bhi hota hain.jisse apko grammer section bhi pucha jata hain. is subject se bhi kafi assa mark ata hain CTET exam mein.
CTET kab hota hain:
CTET Exam saal ke june july mahine ke bich karaya jata hain.
Last word:
Toh dosto yeh tha CTET yani Central Teacher Eligibility Test ke bare me kuch jankari, asha karta hu apko yeh jankari pasand aaye hai ,aur ummid he ki isse aplogo ko kuch janne ko mila CTET ke bare mein.
Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.
Ye bhi padhe –
- Brand Ambassador kya hota hai?|Brand Ambassador ki salary kitna hota hai?
- DRDO Full form kya hai?|DRDO ke bare mein puri jankari:
- Advantages and disadvantages of internet (इंटरनेट के सुविधाएं और असुविधाएं)