Cowin Vaccine certificate download kaise kare

Namaskar doston aaj is post ke jariye Covid-19 vaccine certificate download karne ke bare mein kuch jaankari aap logo se share kar raha hu. Agar aap certificate download karne ke baade mein janna chahte hai to is post ko antim tak jarur padhe, umeed hai yeh post aap ko pasand aayega dhanywaad.

Corona ka mahamari

Corona mahamari ke karan pure vishay shahid Bharat mein bhi koi logon ne aapna jaan dena para. Ak saal tak to is mahamari ka koi ilaaj hi nahi tha. Is mahamari se bachaav hi iska ilaaj tha. Logon se duri, masks pehnna, humesha haath dote rehna aur gharon mein rehna hi is bimari se bachne ka upaay hai. Ab jab desh ke vaigyanikon ki mehnat se desh mein Corona ka tika banane mein safalta haasil ki. Vaccine bante hi pure desh mein logon mein tikakaran ki prakriya ko bahut tej kiya gaya. Tej tikakaran ke karan hi aaj pure desh mein kareeb 1.5 Billion se jayada logon ko tika lagaya ja chuka hai. Abhi desh mein tikakaran ki do dose logon ko lagai jati hai aur iske badle mein har tikakaran ke bad ak pramaan patra diya jata hai jisse pata chalta hai ki is vyakti ko tika lag chuka hai.

Ab 15 saal se 18 saal ke bacche ko bhi corona vaccine lagne lagi hai, jab ki 10 January 2021 se bujurgon aur health workers ko pehle vaccine diya gaya.

Corona vaccine certificate kaise download kare

Aarogy Setu App se bhi download kar sakte hai

Sabse pehle Aarogy Setu aap download kare. Aap kholne ke bad aapna mobile number register kare. Iske bad aap covid tab par click kare. Yeha aap se 13 ankon ki beneficiary id mangi jayegi. Id ko box mein daalkar submit button par click kare. Yeha aapko aapna vaccine certificate dikhai dega. Ise aap download kar sakte hai.

Cowin ki website se download kar sakte hai

Bharat mein covid tikakaran ki aadhikaarik website hai www.cowin.gov.in . Website ka istemaal vibhinn uddeshy ke liye kiya ja sakta hai. Lekin hum yeha par keval covid vaccine certificate download karne ke baare mein bat karenge. Niche diye kuch aasan se step follow karke aap website se covid vaccination certificate download kar sakte hai.

  • Aapne browser ka istemaal karke covid ki aadhikaarik website www.cowin.gov.in par jaye.
  • Ab Sign in button par click kare aur aapne register mobile number ka istemaal karke log in kare.
  • Aapki pehchan ki pushti karne ke liye aapke register mobile number par OTP bheja jayega.
  • Log in karne ke bad, aapko pehle aur dusre tikakaran dinon ke liye aapne tikakaran ki taikhe dikhai dengi.
  • Ab, aapne naam ke niche diye gaye certificate tab link par jaye.
  • Pdf file ko corona vaccine certificate ke rup mein download karne ke liye download button par click kare.

WhatsApp se covid vaccine download kar sakte hai

Jin logon ko vaccine ki donon dose lag chuki woh website ki jariye bhi aapna certificate download kar sakte hai.

Vaccine ke liye aapne jis number se registration karaaya tha usi number se aapko MyGov corona help desk number 9013151515 par WhatsApp ke jariye Hi likhkar bhejna hai. Hi likhkar bhejte hi aapke paas ak massage ayega, jsike jabaab mein aapko Covid-19 certificate likhkar bhejna hai. Is massage ke bad aapke register mobile number par OTP ayega, jsiko aap isi whatsApp chat par type karke bhej denge. OTP bhejte hi aapko aapna certificate mil jayega, jise aap download kar sakte hai.

At last

Toh doston yeh tha aaj ke topic Covid vaccine certificate download kaise kare iske bare mein, asha karta hoon abhi aap jan gaye hai certificate download kaise kare. ummeed hai yeh post apko pasand aaya hai.

Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.

Also Read..

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *