Byju’s app kya hai? Byju’s app ke bare mein.

Byju’s app mein kya kya subject ata hai or kis kis class ka?

Aaj ke digital jamane mein hamare bahut sare system update ho gaye hai. Hum pehle se bahut jyada fast ho gaye hai. Hamare sabhi system aaj kal fast kam karta hai.

Aaj ka jamana itna easy ho gaya hai ki aaj hum ghar baithe baithe hi apna bahut sara kaam kar sakte hai.

Aaj ke is digital jamane ka pravab hamare education system par bhi huwa hai. Aaj kal bache jyada tar mobile pe hi busy rehte hai jiske karan bache ko bhi mobile se bhi bahut kuch sikhne ko milta hai.

Aaj kaal internet pe bahut sare learning app hai jiske madad se aaj kaal bache ko easily bahut sare academic cheeze sikhne ko milte hai.

Ye sabhi online learning app o mein se ek bahut hi famous or helpful app hai Byju’s app.

To dosto aiye is post par hum jante hai ki Byju’s app kya hai? Byju’s app ke facility kya hai? byju’s app ko use kaise karte hai ye sab ke bare mein.

Byju’s app ko kaise or kaha se download ya install karte hai?

Byju’s app ko download ya install karne ke liye pehle apko google play store par jana hota hai. Google play store par jane ke bad apko apke device screen par ek search option dikhai dega.

Us search option par apko Byju’s app likhkar enter karna hai, enter krke search karna hai, uske bad apke device ke screen par byju’s app aa jata hai, or app ke niche install ka option hota hai, apko us install ke option par click karna hai.

waha click karne ke bad apke device par apka app install ho jata hai.

Byju’s app kya hai?

Byju’s ek learning app hai, jis app ki madad se hum ghar baithe apne baccho ko education provide kar sakte hai. ye ek aisa app hai jiske madad se student bahut sare cheeze sikh sakte hai.

Is app mein nursery se lekar tak class 12th tak ke student ke study material hai.

Class 12th ke science, arts or commerce ye tino stream ke study material hai. Saath Byju’s online coaching bhi deta hai, medical, engineer se lekar Civil Service ke exam tak ke coaching bhi byju’s provide karta hai.

Byju’s app ko kaise use karte hai?

Byju’s app ko use karne ke liye pehle apko is app ko google play store se install karna padega, install karne ke bad is app ko apko open karna padta hai.

Open karne ke bad apke device ke screen par next ka option ata hai, apko us next par click karna hai, uske bad apko apke class select karne ka option ata hai. Apko us option par click karna hai.

Saath hi agar aap kisi exam ka preparation karte ho to apko exam ke option par click karna hai.

Uske bad apke device ke screen par apke naam, mobile number, email or adress ka option ata hai, apko ye sab likh kar waha enter karna hota hai.

ye sab ke bad apko niche dikhega register ka option, apko us register par click krna hai, uske bad apke register numberv ek OTP aa jata hai, apko device par ek OTP ka option dikhai dega, apko us option par OTP ko enter kar dena hai.

OTP enter karne ke bad apke device ke screen par next ka option ata hai, apko next par click karna hai. Uske bad apko pucha jata hai ki aap parent ho ya student, agar aap parent ho to apko yes par click karna hai or agar aap student ho to apko student par click karna hai.

Uske bad apke screen par kuch subject aa jate hai apko jo subject pasand hai us par click kar dena hai, click karte hi us subject ka kuch notes apke screen aa jata hai.

Last word:

Toh dosto yeh tha Byju’s app ke bare mein kuch jankari, asha karta hu apko yeh jankari pasand aaye hai ,aur umeed he ki isse aap logo ko kuch janne ko janne ko mila Byju’s app use ke bare mein.

Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.

Ye bhi padhe:

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *