About B.Sc Computer Science in Hindi!
Aaj kal education ki importance badh gaya hai. aap jaha bhi jate ho chahe jo bhi xetra ho sabhi xetro mein aaj kal education important ho gaya hai.
Education ke bina hum aaj kuch soch bhi nahi sakte hein. Education ke bahut sare bhag hote hein, jisme sabse pehle bhag hote hai HSLC(matric).
Dusra bhag hote hain 10+2 yani higher secondary(H.S), uske bad aata hai diploma, uske bad degree level yani bachelor degree.
Uske bad ate hain master degree, uske bad or bhi bahut sare hein jaise PG(post graduate), Phd. ye sab. Bachelor Degree ke kuch bhag hote hai yani stream alag alag hota hai.
Bachelor degree ke tin bhag main aaj hum ek bhag ke bare main baat karenge wo bhag yani stream science ke Bachelor degree B.sc Computer Science ke bare main.
To dosto aiye is post par hum jante hai ki B.sc Computer Science course kya hai? B.sc Computer Science karne ke liye kya eligibility chahiye ye sab ke bare main.
B.Sc computer Science kya hai?
B.Sc Computer Science ek bachelor degree course hai, B.Sc Computer science main computer ke software or thoda hardware ke bataya jata hai.
B.Sc Computer Science ke eligibility:
B.Sc Computer Science ke liye hume pehle hume 10+2 yani H.S. clear karna padna hai wo bhi science stream se. Science stream main aapka Maths or Physics ka hona jaruri hota hai.
Agar aap ke Physics or Maths hai H.S. main tabhi aap B.Sc Computer Science main admission ke liye form fill up kar sakte hai.
B.Sc Computer Sceince main kya kya hota hai?
B.Sc Computer Science main Computer Programming Languages jaise C++, Java, C, Phython ye sab. Inke saath Computer Networks, operating system, software or thoda bahut hardware bhi sikhaya jata hai.
Data structure, Data Base Management System, Computer Architecture, HTML, PHP, Android or bhi bahut kuch sikhaya jata hai B.Sc computer Science main.
B.Sc Computer Science ke scope:
B.Sc Computer Science karne ke bad aap IT company main kaam kar sakte hai, saath hi ek web ya app ya software developer ki kaam kar sakte hai. App as a data base administrator bhi ban sakte hai or bhi bahut kuch.
Agar aap higher study karna chahte hai to aap Msc ya MCA bhi kar sakte hai. Uske bad aap college main as a professor bhi join kar sakte hai.
Last Word:
Toh dosto yeh tha B.Sc Computer Science ke bare me kuch jankari, asha karta hu apko yeh jankari pasand aaye hai ,aur ummid he ki isse aplogo ko kuch janne ko mila B.Sc Computer Science ke bare mein.
Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.
Ye bhi padhe:
- MCA kya hai? MCA ke bare main jankari!
- How to become IRS officer in Hindi?
- MBA kab karni hoti hai? MBA ke bare main puri jankari!