Azim Premji :Tech King of India!

Biography of Azim Premji :Tech King of India!

#About Azim Premji/ Wipro Limited

Dosto kaise hai aap log! Asha karte hai ki aap log asse honge. Dosto aaj ka zamana hum bina internet ke ya bina technology ke bare soch hi nahi sakta.

Aaj ka zamana hai software ka zamana, internet ka zamana, lekin dosto ye sab technology hamare desh main pehle itna tez nahi tha, sab bahar ke desho se chalta tha hamare technology, lekin hum aaj apne desh main hi technology develope kar rahe hai.

Dosto kya aap jante hai ki hamare desh main technology ke develop kisne kiya tha ya kisne ye revolution laya.agar nahi jante hai to aiye aaj hum janenge is post main.

Hamare desh ka technology develop ya revolution laya tha hamare desh ke Azim Premji ne, jo abhi ek bahut bada businessman or philanthropist hai.

To aiye is post par hum jante hai Azim premji ke bare main unka janm kab aur kaha hua tha, unka company ka naam kya hai ye sab ke bare main.

Azim Premji ka janm or Pita ka naam:

Azim Premji ka janam hua the 24 July 1945 ko Bombay(British India) main ek Kutchi Indian Muslim Shia Islam family main.

Azim Premji ka pita ka naam the Muhammed Hashim Premji , jo ek businessman tha or unko Rice King of Burma ke naam se jane jate the.

Azim Premji education and married life: Azim Premji ne Bachelor of Science in Electrical Engineering ki degree liya tha Stanford University se.

Azim Premji ne Yasmeen Premji se shaadi kiya tha. Azim Premji ke do bacche hai Rishad Premji or Tariq Premji. Azim Premji ke career: Azim Premji ne Wipro limited ke founder hai. wipro ek bhartiyo multinational corporation hai jo information technology, consultant and business process services provide karta hai.

Pehle Wipro Azim Premji ke pita ne start kiya tha lekin bad main technology ka kaam Azim Premji ne kiya tha.

Azim Premji ko informally  Czar of the Indian IT Industry se bhi jana jata hai. Wipro ek leading tech company hai.

Azim Prem ji ne 1966 main Wipro chairman ka dayitbo sambhala tha sirf 21 saal ke umro main.

Azim Premji ke Awards: Azim Premji ko bharat sarkar ne 2005 main Padma Vibhushan samman se sammanit kiya tha.

Azim Premji ko 2018 main french sarkar ne Chevalier de la Légion d’Honneur se sammanit kiya tha.

Azim Premji ko 2006 main National Institute of Industrial Engineering, Mumbai ne Lakshya Business Visionary samman se sammanit kiya tha.

           Azim Premji ek mohan byakti hone ke saath saath ek bahut bade dil ke malik bhi hai. Azim Prem ji apne income bahut sara paisa dan karte hai, unka ek foundation hai Azim Premji foundation.

Azim Premji ne Covid 19 ke time pe bhi bahut sara paisa dan kiya tha.. Donation ke mamle Azim Premji sabse aage hai or hamesha logo ke madad karte hai.

Last Word: Toh dosto yeh tha Azim Premji :Tech King of India! ke bare me kuch jankari, asha karta hu apko yeh jankari pasand aaye hai ,aur ummid he ki isse aap logo ko kuch janne ko mila Azim Premji :Tech King of India!.

Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.  

Ye bhi padhe: 

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *