About Dehing Patkai National Park in Hindi, dehing park kab kaise banaye jane.
Namaskar doston aaj is post ke jariye Assam ke Dehing Patkai national park ke bare mein kuch jaankari aap logo se share kar raha hu. Agar aap Dehing Patkai national park ke baade mein janna chahte hai to is post ko antim tak jarur padhe, umeed hai yeh post aap ko pasand aayega dhanywaad.
Dehing Patkai National Park kab banaya gya hai
Assam sarkar ne Dehing Patkai vanyajeev abhayaarany ko national park ka darja dene ki ghoshna ki hai. 6 July 2020 ko huyi raajya cabinet ki bethak mein ise manjuri di gyi. Jaha vanyajeev abhayaarany mein kuch gatividhiyon ki manjuri hoti hai wahi vanyajeev suraksha kanun 1972 ke tahat national park ko purna suraksha praapt hoti hai jaha gatividhiyon ki anumati nahi hoti hai. Ullekhneey hai ki April 2020 mein rashtriya vanyajeev board ne aapni bethak mein Saleki prastavit reserve van mein koyla khanan ki anumati di thi jiske pashchaat kafi vivaad ho gaya tha. Saleki reserve Dehing Patkai haathee reserve ka hissa hai jisme Dehing Patkai vanyajeev abhayaarany bhi shaamil hai.
Dehing Patkai Abhayaarany ke baare mein
Abhayaarany Assam ke Tinsukia aur Dibrugarh jilon mein sthit hai. Abhayaarany 111.19 km ke shetra mein fela hua hai.
Arunachal Pradesh ke Changlang aur Tirap jilon mein jungle adhik fela hua hai. Dehing Patkai ko 2004 mein al vanyajeev abhayaarany ka darja diya gaya tha. Abhayaarany 47 sarisrip, 47 standhaariyon aur 310 Titliyon ka ghar hai.
At last
Toh dosto yeh tha aaj ke topic Dehing Patkai national park ke bare mein, asha karta hoon abhi aap jan gaye hai assam ke Dehing Patkai national park ke baade mein. ummeed hai yeh post apko pasand aaya hai.
Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.
Also Read…
- Maldives kaha par hai माले सिटी – Male City, Maldives in Hindi
- Lachit Borphukan (Lachit Divas) Assam in Hindi
- Biography of Rani Lakshmibai the queen of Jhansi in Hindi