Sim Card kya hai puri jankari sim card ke bare mein, History of sim Card in Hindi
Namaskar doston aaj is post ke jariye Sim card kiya hai, sim kitne prakaar adi ke bare mein kuch jaankari aap logo se share kar raha hu. Agar aap Sim card ke bare mein janna chahte hai to is post ko antim tak jarur padhe, umeed hai yeh post aap ko pasand aayega dhanywaad.
Sim card kiya hai
Mobile phone ki duniya mein, upbhoktaon ke liye do praathmik phone prakaar uplabdh hai. GSM(Global System For Mobile) aur CDMA(Code Division Multiple Access). GSM phone sim card ka upyog karte hai aur CDMA phone sim card ka upyog nahi karte hai.
Sim card chote card hota hai jinme ak chip hoti hai jise aapko kaam karne se pehle GSM phone mein daalna padta hai. Ak sim card ke bina, ak GSM phone kisi bhi mobile network mein teb karne mein saksham nahi hoga. Card mein sabi mahatvapurn jaankari hoti hai.
Sim(Subscriber Identity Module) card ak smart card hai job GSM sellular telephone subscriber ke liye data store karta hai. Is data mein user ki pehchan, location tatha phone number, network authorization data personal security lock, contact list tatha text massage shaamil rehte hai.
Isi tarah customer ID sim card judi hoti hai na ki kisi mobile phone se. Isi vajah se aap vibhinn GSM mobile phone ke madhyam se sim card ka upyog kar sakte hai. Sim card keval GSM phone par hi upyog kiye jaaye hai CDMA mobile ki sthiti mein keval naye LTE yogya handset ke liye hi aavashyak hai. Sim cards setelite phone, smart watch, computer, ya camera mein upyog kiye ja sakte hai.
Ak Sim mein kiya-kiya store hota hai
Sabi sim mein hume ak chip dekhno ko mil jati hai is chip mein aapko jyada memory to dekhne ko nahi milti. Lekin sim mein unique id hoti hai jise hum IMSI kehte hai yeh unique id tab kaam karti hai jab aap aapne number se kisi ko call karte hai.
Iske alawa doston jaisa ki aap jante honge ak sim mein contact detail avam number save kiye ja sakte hai. Taki jarurat padne par phone ki adla badli ki ja sake. Aur aapke sabi contact usi sim mein rahe. Halaaki aaj ke samay mein log cloud mein sabi contact save karte hai taki online unhe access kiya ja sake. Internet ke jariye kisi bhi device mein contact ko access kiya ja sake. Lekin aaj bhi koi aise user hai jo internet ka istemaal nahi karte hai. Unke liye cloud se backup karna sambhav nahi hai to woh aaj bhi is tarike ko upyog mein laate hai.
Sim card kitne prakaar ke hai
Sim plastic ke ak card mein lagi hyi ak chip hoti hai, jinki size samay ke sath-sath kam hota gaya hai. Aajkal adhiktar micro aur nano sim card ka istemaal kiya jata hai.
1. Full Sim
Sabse pehli baar sim Jermany mein saal 1991 mein banaya gaya tha, jiski size ak credit card ke barabar tha.
2. Mini Sim
Technology ke bikaas ke sath sim ke size mein kafi sudhaar hua hai, ab mini sim card ka istemaal hone laga hai, jiska istemaal keypad wale phone’s mein hota hai.
3. Micro Sim
Micro sim ko charo taraf se thoda trip karke mini sim ka size banaya gaya hai, inka use kuch suruaati smart phone mein kiya gaya tha aur aaj bhi inka istemaal kiya jata hai.
4. Nano Sim
Ab jo sim card hum aapne smart phone mein istemaal karte hai, woh keval ak chip ki size ka hota hai, use hi nano sim kaha jata hai.
5. E-Sim card
Ise E-Sim ya embedded sim kaha jata hai, inka size bahut hi chota hota hai. Inka size lagbhag 6 × 5 MM ka hota hai, ye mobile phone mein pehle se hi install hote hai, jinhe remotely active kiya ja skta hai.
Service ke adhaar par sim card kitne prakaar ke hai
Telecom companiyaan do prakaar ke sim card uplabdh karati hai, jinhe service ke adhaar par bata gaya hai.
- Prepaid sim card
Prepaid sim card mein service ko use karne se pehle aapko paise dene hote hai. Prepaid sim card ka istemaal sabse adhik kiya jata hai.
- Postpaid sim card
Postpaid sim card ke liye sabse pehle aapko ak plane lena hota hai, uske bad hi aap uski service ko istemaal kar sakte ho, iska bill aapko mahine ke ant mein company ko pay karna padta hai. Is tarah ke sim ko jyadatar business site mein use mein use kiya jata hai.
At last
Toh doston yeh tha aaj ke topic Sim card ke bare mein, asha karta hoon abhi aap jan gaye hai Sim card ke baade mein. ummeed hai yeh post apko pasand aaya hai.
Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.
Also Read…
- स्वामी विवेकानंद की जीवन कथा|Swami Vivekananda Biography in Hindi
- Cowin Vaccine certificate download kaise kare
- JioMart App ke bare mein puri jankari