Top 5 Gaming Android Phone, Gaming phone kharidna hai, best mobile for gaming Android
Doston aaj ke samay mein lagbhag sabhi log aapne khali samay mein aapne pasandida ko khelna pasand karte hai. Jab se Pubg ya Bgmi, Free Fire adi mobile game ka craze logon ke dilo-dimag par shaane laga, tab se jydatar Mobile gaming craze ka vistaar hone laga hai.
Aaj aapko google ke play store par bahut shari gaming application mil jayengi, jo aapko better gaming experience ko behtar banate hai. Bacchon ke sath-sath bade log bhi dheere-dheere anekon prakaar ki game mein aapni ruchi dikha rahe hai, isi ko dekhte hye aaj gaming ke shetro mein bahut hi jayada vistaar ho raha hai, roj naye naye game launch ho rahe hai.
Yadi aap bhi game khelne ke shaukeen hai, to aaj hum aapne is post ke madhyam se aap sabi logon ko top 5 gaming android phone kon se hai? Jo aapke gaming experience ko behtar banayenge.
Top 5 Gaming Android Phone
1. Asus Rog 5
Asus Rog 5 ke display panel ko latest janresan corning gorilla glass victus ka protection diya gaya hai. Asus Rog 5 mein triple rear camera setup diya gaya hai jisme 64 megapixel primary camera, 13 megapixel ultra-wide-angle camera aur 5 megapixel ka meko shutter diya gaya hai. Selfie ke liye phone mein 24 megapixel ka front camera diya gaya hai. Connectivity ke liye Wi-Fi 6, Blootuth 5.0, GPS/A-GPS, NFC, do USB type-C port aur 3.5mm headphone jack diya gaya hai. Naye smartphone ke sath air trigger 5, dual front firing speaker aur multi-antena Wi-Fi diya gaya hai, screen 6.78 inch full hd+samoled display, 8GB+128GB storage aur 12GB+256GB storage, 6000mAh bettery hai jo 65W fast charging support karti hai, prossecer Qualcomm Snapdragon 888 Octa Core 2.86 GHz hai, jo aapki gaming experience ko kafi ache se run karenge.
2. Poco X3 Pro
Poco X3 pro phone mein aapko ak 6.67 inch ki FHD+DotDisplay mil rahi hai. Iske alawa phone mein aapko gorilla glass 6 ka protection bhi mil raha hai. Poco X3 pro mobile phone mein aapko Octa Core Qualcomm Snapdragon 860 SoC mil raha hai, iske alawa phone mein Adreno 640 GPU mil raha hai, iske alawa phone mein aapko 8GB tak ki Ram bhi mil rahi hai. Camera adi ki bat kare to aapko bata dete hai ki Poco X3 pro mobile phone mein aapko ak wide-camera setup mil raha hai, is mobile phone mein aapkoal 48MP ka primary sensor mil raha hai, halaki iske alawa phone mein 8MP ka Ultra-wide lens bhi mil raha hai, phone mein ak 2MP ka meko lens mil raha hai, iske alawa phone mein aapko ak 2MP ka ddepth sensorbhi mil raha hai, aur phone mein 20MP ka selfie camera bhi mil raha hai. Poco X3 pro mein 5160mAh ki battery mil raha hai, aur phone mein Octa Core Qualcomm Snapdragon 860 ki processor mil raha hai jo gaming ke liye bahut acha hai.
3. MI 11 Ultra
Ia mobile phone ko yani Xiaomi Mi 11 Ultra ko India mein android 11 par launch kiya gaya hai, phone mein aapko 6.81 inch ki WQHD+E4 AMOLED display mil rahi hai, jo 120Hz refresh rate ke sath aati hai, iske alawa phone mein aapko 480Hz tauch sampling rate bhi milta hai. Phone ki display par aapko gorilla glass victus ka protection bhi mil raha hai. Halaki iske alawa phone mein aapko secondary display bhi mil rahi hai, jo ak 1.1 inch ki screen hai. Phone mein aapko Qualcomm Snapdragon 888 processor mil raha hai, sath hi phone mein Adreno 660 GPU bhi mil raha hai, phone mein ak hi single 12GB Ram aur 256GB ki storage mil rahi hai, aur 5000mAh ki battery bhi mil raha hai jo game khelne mein kafi lambe samay tak aapki sath degi.
4. Oneplus Nord
Oneplus Nord quad camera setup ke sath Aya hai jisme 48MP ka primary camera diya gaya hai iska aparcar f/1.75 hai, dusra camera 8 MP ka Ultra-wide angel camera, teesra 2MP ka meko camera aur chautha 5MP ka depth sensor hai. Device ko dual LED flesh aur OIS support milta hai. Rear camera se 30FPS par 4K UHD recording ki ja sakti hai aur 240 FPS par super slow-motion eye depth capture kar sakte hai. Device ke front par 32MP ka primary camera aur 8MP ka Ultra-wide angel camera diya gaya hai jo 105 degree field of view ke sath Aya hai. Phone mein 6.44 inch ka screen, Octa core Qualcomm Snapdragon 765G processor, aur sath hi 4115mAh battery mil raha hai.
5. Realme Narzo 10A
Agar aap budget wali phone chahte hai to Realme Narzo 10A aapke liye best hai. Is phone ki keemat to kam hai lekin yeh bhi heavy game ka load le sakta hai aur aapko ak achi gaming facility ka anand de sakta hai. Is phone ki feature ki bat kare to is photo mein company ne 6.5 inch ki di hai jo eye protection ki suraksha ko dyan mein rakhte hue banaya gaya hai. Is phone mein company ne Media Tek Helio G70 processor diya hai. Company ka kehna hai ki is prize segment mein is phone ka processor sabse acha hai. Iske alawa is phone ke chipset mein company ne gaming graphic ka acha dyan diya hai. Company ka dawa hai ki users is phone mein gaming ka kafi acha anubhav karenge. Is phone mein company ne 5000mAh ki dumdar battery di hai, jo reverse charging support bhi hai. Is phone mein company ne ak Hi variant page diya hai. Yeh 3GB Ram aur 32GB storage ke sath aata hai.
At last
Toh doston yeh tha aaj ke topic Top 5 gaming android phone ke bare mein, asha karta hoon abhi aap jan gaye hai gaming android phone ke baade mein. ummeed hai yeh post apko pasand aaya hai.
Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.
also read..