About of manas national park in hindi, national park kaha hai hai, national park ke bare mein, history of manas national park assam in Hindi Manas National Park Information In Hindi | मानस राष्ट्रीय उद्यान की जानकारी
Aaj hum is post ke jariye Manas National Park Assam mein ghumne ki jaankari batane wale hai. Bharat ke Assam raajya mein bahut hi vishal shetra mein phela Manas National Park UNESCO prakritik vishay dharohar sthal shaamil hai. National park mein haathee reserve, bayosfiyar reserve aur project tiger reserve sthit hai. Yeh park bharat ke sabse ache rashtriya parkon mein se ak hai. Manas rashtriya parkon mein haathee par bedkar koi bhi asani se gaindo aur baaghon ko dekh sakta hai.
Manas National Park kab banaya gya tha
1 October 1928 ko 360 km shetra ke sath Manas National Park ko abhayaarany ghoshit kiya gya tha. Manas bio reserve ki sthapana 1973 mein banaya gya tha. Abhayaarany ki ghoshna pehle yeh ak aarakshit reserve tha jise Manas R.F ke naam se jana jata tha iska prayog kuch Bihar ka shahi parivaar aur Gauripur ke raja shikaar ke liye aarakshit rup mein karte the. 1951 aur 1955 ko shetra ko baada kar 391 km kar diya gya. Yeh UNESCO dara September 1985 mein al vishay dharohar sthal ghoshit kiya gya tha.
Manas National Park kaha par hai
Manas National Park Assam, Bharat mein sthit ak national park hai. Yeh abhayaranya UNESCO dara ghoshit ak prakritik vishay dharohar sthal, baagh ke aarakshit pariyojna, haatheeyo ke aarakshit setra ak aarakshit jeevamadal hai. Himalaya ki talhati mein sthit yeh abhayaarany Bhutaan ke Royal Manas National Park ke nikat hai. Yeh park aapne durlabh aur luptpraaya sthanik vanyajeevon ke liye jana jata hai jaise Assam roofed turtle, hispid hare, golden langur aur pygmy hog. Manas jungali bhenso ki aabaadi ke liye prasiddha hai. Yeha ak sing ka gainda aur barahasinga ke liye vishesh rup se paye jaate hai.
Manas National Park ke mukhya bhaag mein angrej alla jungalo se ghira hua gaon hai. Is gaon ke alawa 56 se adhik gaon park ko charon aur se ghire huye hai.
Manas ki khash batein
Ia park ko teen shreniyon mein vibhajit kiya gya hai. Iski pashchimi seema panbaari, kendriya seema Barpeta road ke pash Bansbari mein aur Pathsala ke nikat Bhuiyapara mein purvi seema sthit hai. Yeh shreniya aapse mein aachi tarah se jusi nahi hai.
Bhautik bhugol: Manas purvi Himalaya ki talhati mein sthit hai aur ghane jungle se aachhaadit hai. Manas nadi park ke pashchim shaur se behti hai aur yeh is abhayaarany ki mukhya nadi hai. Yeh Brahmaputra nadi ki sabse baadi sahaayak nadi hai aur bad mein do alag-alag nidhiyon, Bwrsi aur Bholkaduba mein bibhaakta ho jati hai. Manas nadi Bharat aur Bhutaan ko vibhajit karne wali ak antararashtriya seema ke rup karjya karti hai.
Manas National Park ka yatra karne ka acha samay
October se April Manas National Park ki yatra ke liye sabse acha samoy hai. Kiuki mausam suhaana hota hai, jisse koi vanaya jeev prajatiyon ko dekhne ka mauka milta hai. National park ardha-ushnakatibandhiya jalavaayu ka anubhav karwata hai. Jisme arda grishmkaal, thandi sardiya aur mansun ke dauraan bhaari bharsha hoti hai. Tourist ko mansun ke mausam mein yeha jaane se bachna chahiye. Yani June se September mein bhaari bharish se park mein pani bhar jata hai.
Manas ki entry fees
Trips and Timing
- Morning- 9 to 12
- Afternoon- 2 to 5
Entry fee
Bharatiyon ke liye entry fee
- Entry prati viyakti – 20 rupee
- Stil camera – 50 rupee
- Kamcardor – 100 rupee
- Saphari – 120 rupee
- Nau ki savaari – 1000 rupee
Bideshi tourists ke liye
- Prati viyakti – 250 rupee
- Stil camera – 50 rupee
- Kamcardor – 500 rupee
- Saphari – 750 rupee
- Jeep pravesh shulk – 300 rupee
At last
Toh dosto yeh tha aaj ke topic Manas National Park ke bare mein, asha karta hoon abhi aap jan gaye hai assam ke Manas National Park mein aane sahi samoy, ghumne ka fee adi ke baade mein. ummeed hai yeh post apko pasand aaya hai.
Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.
Also Read..
- Top 10 Best Football Player of all time in the world
- Rangsapara the cleanest Village in Assam(India)
- Diwali ke baare mein kuch jankari