Cricketer Sanju Samson biography in Hindi!
Bharat ek cricket premi desh hai. bharat mein sabse pasandida khel hai cricket, jo bharat ke logo ke dilo mein raj karta hai.
Bharat mein kisi bhi cricket tournament ek tyohar ki tarah hota hai. bharat ke lag bhag sabhi log cricket dekhte hai.
Bharat mein cricket itna popular hone ka karan hai, Bharat ke mahan khiladiyo ke khel.
Bharat ne bahut bade bade cricketaro ko janm diya hai, jiske badulat bharat aaj duniya mein cricket mein ek number hai.
Bharat un mahan khiladiyo ke bare mein hume janne chahiye. Bharat ke un mahan khiladiyo ke bich ek khiladi hai Sanju Samson.
To dosto aiye is post par hum jante hai ki Sanju Samson ka janam kaha hua, Unka cricket carrier ki shuruwat kaise huye ye sab ke bare mein.
Sanju Samson ke janam:
Sanju Samson ke janam 11 November 1994 ko kerela ki Thiruvanathapuram main ek gaon main huwa tha.
Sanju Samson ke mata pita ke naam:
Sanju Samson ke pita ka naam hai Samson Viswanath or Sanju Samson ke mata ka naam hai Ligy Samson
Sanju Samson ka pura naam:
Sanju Samson ko hum generally Sanju Samson ke naam se hi jante hai, lekin unka pura naam hai Sanju Viswanath Samson.
Sanju Samson ke career:
Sanju Samson Indian Cricket team ke ek right handed wicket keeper batsman hai. Sanju Samson ne apne Cricket jeevan ki suruwat ki thi 2011 se Kerela ki aur se.
Sanju Samson ki IPL career ki shuruwat hui thi 2012 se Kolkata Knight Riders team ki aur se, uske bad Sanju Samson 2013 se 2015 tak Rajashtha Royals ke liye khele.
2016 se 2017 tak Delhi Daredevils ke liye khele or phir 2018 se lekar ab tak Sanju Samson phir se Rajasthan Royals ke liye khel rahe hai.
Sanju Samson ke International Cricket ki shuruwat hui thi 2015 se. Sanju Samson ne apna pehla T20I match khela tha 19 July 2015 main Zimbabwe ke khilaf.
Filal Sanju Samson Rajasthan Royals team ke captain hai.
Last word:
Toh dosto yeh tha Sanju Samson ke bare mein kuch jankari, asha karta hu apko yeh jankari pasand aaye hai ,aur umeed he ki isse aap logo ko kuch janne ko janne ko mila Sanju Samson ke bare main ke bare mein.
Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.
Ye bhi padhe:
- Rishabh Pant ke jeevan parichay!
- Ishan Kishan ke jeevan parichay ke bare main!
- Jasprit Bumrah ke jeevan parichay!