Log music se bahut pyar karte hai. Bahut sare log music ke bina reh nahi sakte hai. Duniya mein sayed hi kuch aise log hai jinko music nahi pasand karte hai.
Music se bahut sare log apne apne mind fresh karte hai, apne dukho ko dur karte hai. Kabhi kabhi enjoy karne ke liye bhi music sunte hai.
Aaj ke jamane se pehle log DVD ya kisi recording pe gane sunte the, lekin aaj ke is digital jamane ne pura mahol hi badal diya. Aaj kal log internet ke sahai se mobile ya anyo kisi device pe hi gaane sunte hai.
Internet ke badulat log aaj kaal online gane sunte hai. Online gaane log kuch app ke madhyam se sunte hai, jo online pe available hote hai. In app me se ek app hai wynk music app.
To dosto aiye is post par hum jante hai ki wynk music app kya hai, is app ko kaha se download ya install karte hai, is app ke istemal kaise karte hai ye sab ke bare mein.
Wynk music app kaha se download ya install kare?
Wynk music app download ya install karne ke liye pehle apko playstore par jana padega. Play store par jane ke bad apke screen par search ka option ata hai, apko us search ke option par wynk music likh kar search par click karna hota hai.
Search par click karne ke bad apka device ke screen par wynk music app aa jata hai, app ke niche apko install ka ek option dikhai dete hai, apko us install option par click karna hai.
Install option par click karte hi apke device par wynk app install ho jata hai.
Wynk music app ke bare mein jankari!
Wynk music app ek music app hai, jis app ke sahai se hum online gaane sun sakte hai or online se gaane download bhi kar sakte hai. Wynk music app airtel users ke liye bahut hi faide mant hote hai.
Agar app airtel user ho to apke mobile pe ye gaane sunne ke liye apko koyi fee dena nahi padta hota hai. Lekin agar aap airtel ke alaba koyi or SIM ke user hai to apko gaane sunne ke liye fee dena padta hai.
Wynk music app use kaise kare?
Wynk music app airtel users ke liye bilkul muft hai. Wynk music app open karne ke bad apke screen par number ya gmail enter karne ka option ata hai.
Ye sab enter karne ke bad apke screen kuch gaane aa jata hai, jo alag alag language ke hote hai. Usme se jo apko pasand hote hai, us gaane ko select karna hai or apka gaana start ho jayega.
Wynk music app se gaana kaise download kare?
Wynk music app mein se gaana download karne ke liye pehle apko gaana select karna padega, gaana select karne ke bad us gaane ke niche ek arrow sign hota hai,
Us arrow sign par apko click karna hai, waha click karne ke bad apka gaana download hona shuru ho jayega or download complete hone ke bad apka us arrow sign ke jagah par tick sign aa jata hai.
lekin yad rakhna apka SIM airtel hona jaruri hai tabhi aap free mein download kar sakte hai. Agar aap koyi or SIM use karte hai to apko fee dena padta hai.
Last word:
Toh dosto yeh tha wynk music app ke bare mein kuch jankari, asha karta hu apko yeh jankari pasand aaye hai ,aur umeed he ki isse aap logo ko kuch janne ko janne ko mila wynk music app use ke bare mein.
Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.
Ye bhi padhe:
- BBPS kya hai ? BBPS ke full form in Hindi:
- Bandhan Bank se Loan kaise paye! | Bandhan se loan lene ki Puri Jankari
- कैसे करे download fb status in Hindi|जानिए fb स्टोरी डाउनलोड कैसे करे आसान तरीका!
- Ride mode kya hota hai ?|What is ride mode in Hindi