SSD kya hai? About SSD in hindi.
Dosto aaj ka zamana bahut age badh rahe hai. Aaj ke zamane mein hum bahut tezi se technical development ki aur aagh badh rahe hai.
Aaj ke pehle duniya mein digital device tha jarur lekin wo aaj kaal ke device ke jaisa itna update nahi tha.
Lekin aaj ke jamane ke device bahut hi fast or comfortable hai use karne ke liye.
Aaj ke pehle jo laptop ya desktop hote the wo laptop asse to hote the lekin jyada fast kaam nahi karte, agar kuch karta bhi the to uska price bahut jyada hote the.
Lekin aaj ke jo laptop ya desktop hai wo pehle ke laptop ke mukable fast kaam karta hai wo bhi low price mein.
Aaj ke laptop aise fast kam karne ke wajah hai aaj ke laptop mein SSD hote hai jo bahut fast kar deta hai laptop ya desktop ko.
To dosto aiye is post par hum jante hai ki SSD kya hote hai? SSD ka full form kya hai? SSD ka kam kya hota hai ye sab ke bare mein.
SSD ka full form kya hai?
SSD ka full form hai Solid State Drive.
SSD kya hota hai?
SSD ek memory device hai. SSD ek latest memory device hai, jo hal hi mein launch huwa hai.
SSD pendrive or memory ka kaam karta hai. Aaj ke pehle ke jo laptop ya computer hote the usme memory device hote the jiska naam hai HDD(hard disk drive) .
HDD generally kuch laptop mein 1tb ya 500gb ka hote hai. Lekin aaj kal ke laptop ya desktop mein SSD ke use karte hai.
Aaj ke kuch laptop mein HDD ke saath SSD bhi use kiya jata hai. Lekin SSD wale laptop ya desktop ka price thoda jyada hote hai HDD ke mukable.
Kuch laptop ya desktop mein sirf SSD ya HDD hote hai. Lekin SSD HDD ke mukable kaafi fast kaam karta hai or faidemand hai.
SSD ke faide?
SSD bahut fast boot up karte hai, SSD laptop ya desktop ko bahut fast bana deta hai.
SSD HDD ke mukable power kam use karte hai, jiske badulat apke battery lasting bhi jyada hote hai.
SSD apke device ko sabhi output bahut fast deta hai.
SSD ke storage capacities:
SSD 128GB, 256GB, 512GB, 1TB or 2TB ke hote hai.
Dosto agar aap naye laptop kharidna chahte hai to SSD check kar hi kharide kyuki SSD se aap kafi better service milenge, jisse apko kaam karke comfort feel hoga.
Apke device hang hone ka chance kaam hote hai, jo ek bahut assi baat hai.
SSD or HDD mein se SSD ko chunna chahiye, kyuki SSD HDD se behtar service provide karta hai.
Last word:
Toh dosto yeh tha SSD kya hota hai ke bare mein kuch jankari, asha karta hu apko yeh jankari pasand aaye hai ,aur umeed he ki isse aap logo ko kuch janne ko janne ko mila SSD ke bare mein.
Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.
Ye bhi padhe:
- Mobile ke system update kaise check karte hai?
- Vedantu app kya hai?Vedantu app ke bare mein!
- Internet speed check karne ka asan tarika!
बहुत अछि Information अपने शेयर की है आपने, धन्यवाद