Hello, Assam ke cleanest village rangsapara ke bare mein, Is post mein apko rangsara gaon jo bharat ke assam rajya ki gaon hai or is gaon kafi clean isiliye famous hai aur is gaon ke naam cleanest village me aagya hai aaiye jante hai rangsapara village kaha par hai, rangsapara village facts in Hindi.
Rangsapara village ke bare mein kuch batein
Guwahati se karib 150 km door Goalpara jile mein ak block hai Balijana , aur Balijana ka gaon hai Rangsapara. Laghbag 88 gharon bale is gaon ke kul population hai mahaz 500 lago ki, lekin en chand logon ne milkar jo mishaal kaayam ki hai, Bho aaj pure Assam mein kisi vijayawada ki tarah sunai deti hai.
Abhi filhal pure desh mein ‘Swachhta Bharat Mission‘ chal raha hai. Prime minister har manj se swachhta ka sandesh dete hai. Lekin Rangsapara ke logon ne aj se 27 saal pehle hi aapna moolmantra bona liya tha. Isi ka natija hai ki Goalpara ko pure Assam ka swachh gain hone ka khitaab mila hai. Assam ke purba mukhyamantri Sarnbananda Sonowal ne ak baade karyakarm mein gaon ko 5 lakh rupee ki nagad rashi dekar sanmanit kiya.
Rangsapara ko ye Kamiyabi yiu hi nahi mili, mehnat-majdhuri karne bale is gaon ke logon mein swap-swapai ke prati itni samaj kaise ayi,Iske liye hume 1990 ke samai mein jana hoga, gaon ke mukhya Robertson Moomin kehte hai ki aur gaon ki tarah unke gaon mein bhi gandgi rehti thi, log neshe ka sheban karte the, aapash mein ladaai jagda bhi hota tha, ak din gaon bhalo ne milkar shocha ki gaon ki dasha sudharne ki disha mein kuch karna hai.
Rangsapara gaon ke logo ke dara gaon ko swachh banane liye kiye gye mukhya karja
Gaon ke logo ne ak baithak bulayi aur usme aapsi samaj se kuch sakta faisle liye gye, Jaise koi bhi khule mei shauch karne nahi jyega, ghar ke gandgi nahi daalega aur koi bhi kisi ki tarah ka nasha nahi karega. Yeh teen bataein gaon wale ke liye aur in niyamon ko todne ki saja bhi teh ki. Jara soch ke dekho aaj se 27-28 saal pehle purav ke shudur gaon walo ne niyam todne par kiya jurmana teh kiya tha.. Pure 5001 rupye ka itna baada dand us jamaane to kiya aaj bhi bahut bhaadi lagta hai.
Momin batate hai ki jurmana jayada isiliye rakha ki koi dhor se niyam na tode, magar gaon walo is swachhta mission mein pura sathe diya aur kabhi ayesi naubat nahi ayi ki kisi par jurmana lagaana pade. Momin ne bataya ki saal 2000 mein village management comity banayi gyi. Isme 10 members hai. Comity ka chayan har saal gaon wale milkar karte hai aur ye comity gaon ki saaf-safaai, bhaichare aur nashe adi par najar rakhti hai.
‘Swachh Bharat Mission’ bharat mein suru hone se Rangsapara gaon par pade prabhav
Balijana block ki pramukhya Ratna Devi batati hai ki jab Prime Minister Narendra Modi ne ‘Swachh Bharat Mission‘ ka aagash kiya to sabse jyada khushi Rangsapara ke lago ko hyi.Khule mein shauch karne par be batate hai ki pehle yeha logo ne ghare mein kacche shauchalay banye the. Iske liye sabi ne milkar shramdan kiya tha. Sarkari taraf se yayajna ane par ab har ghar mein pakke shauchalay ban gye hai. Unhone bataya ki jald hi gaon ko pakki sadak banaya jayegaa.
Ransapara gaon ke kuch khaas batein
- Assam ke sabse Swachh gaon ko Mukhyamantri ne 5 lakh rupye ka inaam
- Ransapara mein gandgi felane par lagta hai 5001 rupye ka jurmana
- Gaon wale har sapteh milkar karte hai saphai, nashabandi bhi
At last
Toh dosto yeh tha aaj ke topic Rangsapara gaon ke bare mein, asha karta hoon abhi aap jan gaye hai assam ke Rangsapara gaon ke baade mein. ummeed hai yeh post apko pasand aaya hai.
Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.
Yeh Bhi padhe-
- Diwali ke baare mein kuch jankari
- Top 5 hand watch for boys under 400 !
- Assam ke Rang Ghar ke bhare mein puri jankari