Mobikwik super cashback kaise kaam karta hai ? | Mobikwik app Ki Puri jankari

Aj hum janenge digital wallet app mobikwik ke bare me sath me yeh bhi janenge mobikwik ka super cashback ke bare. bahut sare logoko mobikwik ka super cashback system fraud lagta hai toh is post par humne mobikwik super cashback ke bare me bataya hai ki super cashback kaise kaam karte hai. is post ko end tak read kijiye apko Mobikwik super cashback kaise kaam karta hai ? | Mobikwik app Ki Puri jankari mil jayega!



what is mobikwik, how was work mobikwik super cashback

Mobikwik Kya hai ? 

Digital wallet naam lete hi pehla no. par aate hai Paytm. Paytm ke bare me har kisiko pata hai paytm ke madad se ap paisa transfer aur dukan o mein payment kar payenge. wesa hi same hai mobikwik yeh bhi digital wallet hai. jisse ap mobile recharge, bill payments sath me mobikwik se loan bhi liya jata hai.

    Yeh bhi padhe – Top 5 E wallet in India

Super cashback Kya hai aur kaise kaam karta hai ?
Mobikwik ka super cashback ke bare me sabko pata nahi hoti hai aur log mobikwik ki super cashback system ko fraud kehta hai. lekin dosto yeh super cashback fraud nahi hai. 

super cashback yeh hai jab ap pehele war mobikwik se recharge karenge toh apko super cashback dega or yeh cash back apke wallet me nahi hote hai jiske wajah se log isko fraud samajte hai. super cashback apko milega usse istemal karne ke liye apko aur ekbar recharge krna padega jab ap 2nd time recharge karenge man lijiye 100 rupees toh apko 100 rupee me se 5% cut hoga jo apke super cashback balance mein rahega usmse se debit hoga aur apko 95 rupees pay karne se hi apka recharge done ho jayega.

Mobikwik features 
Mobikwik features ke bare me bat kare toh isme apko har tarah ka recharge, utility ka services milta hai sath me mobikwik ne naya feature launch kiya hai boost ka jo ki apko 60,000 rupees tak loan dega. loan lene ke liye apka mobikwik account full kyc hona cahiye adhar card se kyc karwana padega. 

Mobikwik fees and charges 
Fees and charge ki bat kare toh agar ap mobikwik app se mobile recharge,DTH recharge, Bill payment ya fir koyi bhi digital payment karenge toh apko 1 rupeya bhi fees bagera dena nahi hoga. Mobikwik sirf fees charges lete hai bank par paisa transfer karte waqt apka wallet se ap koyi bhi bank account par paisa transfer karenge toh apko fees lagega or yeh fees ka percent hai 3% manlijye ap 1000 rupees apka wallet se kisika bank account par transfer karenge toh apke wallet se 1030 rupees debit hoga.

Mobikwik customer care no. aur support
mobikwik par apko koyi bhi issue aye toh ap virtual assistant ke sath bat karke help le sakte ho apko koyi email ya call karne ki jarurt nahi hai. apko sabse pehle help section me jana hai uske bad apko select karna hai recharge issue aya hai ya fraud alert jo bhi apka requirement ho bas ap usko select krke contacts kar payenge aur apka problem solve ho jayega.

Final word:
Toh dosto, Asha karta hu apko jankari mil gaya hoga Mobikwik app ke bare me aur mobikwik super cashback ke bare me. Kripiya Is post ko apne dosto ke sath share kare apne social media par bhi jarur share kare

kuch Sawal hai toh comment par bataye ?. latest post ki update pane ke liye hamare Facebook page like karna na bhule aur hamare blog ka bell icon ko subscribe kare. Knowledge finder blog visit karne ke liye Bahut bahut Dhanyawaad

2 thoughts on “Mobikwik super cashback kaise kaam karta hai ? | Mobikwik app Ki Puri jankari

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *