kreditbee loan app ki Puri Jankari | Kreditbee app se loan kaise paye

kreditbee loan app ki Jankari | Kreditbee app se loan kaise paye

 

Aj hum janenge ek application ke bare me jisse turant loan milti hai 1000 rupeya se lekar 1 lakh rupeya tak, Paisa ka jarurt hame padhte hi rehta hai aur emergency kab aa jaye iske bare me hum keh nehi sakta toh dosto ap is jankari jankar rakhenge toh sayed apko bhi kabi madad aa jaye. is post par humne Kreditbee personal loan app ke bare me bat ki hai. 

Student loan ke liye bhi yeh app kafi helpful hai kyu ki student ko bhi kabi kabi 1, 2 hajar rupeya ki jarurt padhte hai. 

muje ummed hai apko yeh post end tak read karne ke bad Kreditbee app ke bare me puri jankari mil jayega, aur apko pata chal jayega Kreditbee app kya hai aur kreditbee app kaise use kare sath me kreditbee company ki interest charges bagera bhi.

Kreditbee personal app full details in Hindi


Kreditbee kya hai ?

Kreditbee ek application hai android app jisko kreditbee loan app kaha jata hai. play store par is app ka naam hai Instant Personal Loan Online App – KreditBee 

Kreditbee app ke madad se ap 15 minute mein loan le sakte hai, kreditbee loan app se upto 1 lakh loan diya jata hai, kreditbee ek financial company jo ki Finnovation Tech Solutions Pvt Ltd naam se register hai. Yeh kreditbee app jisse instant 1000 to 8000 Rupees se starting hota hai loan aur 1 lakh tak ki loan diya jata hai, sabse pehle jyda amount 8000 rupees dete hai uske bad ap 2nd bar lenge aur dhere dhere apka relation bhi sahi se hoga i mean transaction toh apka loan amount badhte jayega.

Kreditbee loan app kaise use kare

Click here to Download


Is app ko use karna bahut hi easy hai sabse pehle apko play store se kreditbee app ko download kar lena hai, karne ke bad apko account create karne bolega ap Facebook, Google account ke madad se bhi kreditbee account open kar sakte hai.

Yeh sab ho Jane ke bad apko pan card , voter I’d card ya fir adhar card dekar profile ko complete karna hai.

Sab kuch karne ke bad apko loan ka option ayega. jab ap loan apply karenge tab apko apka original document ki photo khiskar dena padega sath me apka selfie pic dena padega live.

uske bad apko Bank account add karne bolega tab apko apka bank details submit karna hai.

kreditbee se loan lene ka process
   Is app se loan lene ke liye apko apna pan card bagera ka details dalne ke bad account ban jate hai, agar apka adhar card hai toh apko turant verify mil jayega agar voter I’d se profile banayenge toh verify hona thoda time lag sakta hai

Kyu ki dosto apko koyi bhi company paisa de rha hai loan toh apko verify karna jaruri hota hai. apka documents sahi hai ya koyi fake to nehi na.

kreditbee se loan lene ka kya charges dena padta hai
Is app ko chalane ke liye apko koyi bhi charges bagera dena nahi padega, kreditbee app se laon lete samay bas kuch processing fees dena padta hai.

Jab ap loan lenge man lijiye 5,000 toh apko is paisa se hi processing fees kat kar rakhega. apko loan payment karte samay 5,000 uske sath 2% kuch interest milakr paisa payment karna hota hai. jab apke bank account me paisa credit hota hai 5000 se kam credit hoga 5000 rupeya me se hi pehle processing fees kat karega.

Kreditbee loan app ka interest %kya hai

Interest ki bat kare toh kreditbee ka loan interest rate monthly system hai 2% se 3 percent tak. agar ap yearly loan lete hai toh apko 36% tak interest dena padega. wese me dosto dikha jaye toh interest bhut hi kam hai gaon ke log jaise interest lete hai un hisab se.

kreditbee se loan lena cahiye ?

Agar apko koyi emergency padhe toh mera hisab se Kreditbee ek accha madad hone wala hai. kyu ki kabi kabi hume aisa ho jata hai 5, 10 hajar rupeya ki jarurt padh jate hai toh idhar udhar dundte rehna padta hai agar online hi mil rha hai toh yeh subidha kafi helpful hai.

Final:
Toh dosto finally ap jan gaye kreditbee personal loan app ke bare mein. asha karta hu apko yeh jankari pasand aya is post ko social media par jarur share kare. Knowledge finder blog visit karne ke liye apka bahut bahut Dhanyawaad

Yeh bhi padhe-

One thought on “kreditbee loan app ki Puri Jankari | Kreditbee app se loan kaise paye

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *