Bharat ek cricket premi desh hai. bharat mein sabse pasandida khel hai cricket, jo bharat ke logo ke dilo mein raj karta hai.
Bharat mein kisi bhi cricket tournament ek tyohar ki tarah hota hai. bharat ke lag bhag sabhi log cricket dekhte hai.
Bharat mein cricket itna popular hone ka karan hai, Bharat ke mahan khiladiyon ka khel.
Bharat ne bahut bade bade cricketaro ko janm diya hai, jiske badulat bharat aaj duniya mein cricket mein ek number hai.
Bharat un mahan khiladiyo ke bare mein hume janne chahiye. Bharat ke un mahan khiladiyon ke bich ek khiladi hai KL Rahul.
To dosto aiye is post par hum jante hai ki KL Rahul ka janam kaha hua, Unka cricket carrier ki shuruwat kaise huye ye sab ke bare mein.
KL Rahul ka janm:
KL Rahul ka janm 18 April 1992 ko Mangalore main huwa tha.
KL Rahul ke family:
KL Rahul ke pita ka naam hai K. N. Lokesh or KL Rahul ke mata ka naam hai Rajeshwari.
KL Rahul ke pura naam:
Rauhl ko to aise hum sabhi KL Rahul ke naam se hi jante hai, lekin unka pura naam hai Kannur Lokesh Rahul.
KL Rahul ke nick name:
KL Rahul ke nick name hai Rahul.
KL Rahul ke record:
KL Rahul cricket ke tino format main sabse fast century lagane wala batsman hai. KL Rahul ne 20 innings main hi cricket ke tin format T20I, test match or ODI main century lagaya tha.
KL Rahul team India ke pehle aise batsman bane jinhone T20I cricket main hit out huwa hai.
KL Rahul ke carrier:
KL Rahul Indian Crikcet team ke right handed wicket keeper opening batsman hai.
KL Rahul cricket main opening ke saath saath middle order main bhi batting karte hai.
KL Rahul domestic cricket Karnataka ki or se khelti hai. KL Rahul ne 2010-11 main first class cricket main debut kiya tha.
Uske bad KL Rahul ne 2010 main Indian U-19 team ko represent kiya tha ICC U-19 world cup main.
KL Rahul ke international debut:
KL Rahul ke international cricket carrier ka shuruwat huyi thi 2014 main Australia ke khilaf.
KL Rahul ne 2014 main test cricket main debut kiya tha Australia ke khilaf.
KL Rahul ne ODI debut kiya tha 2016 main Zimbabwe ke khilaf. IPL debut kiya tha 2013 main.
KL Rahul ne T20 match main debut kiya tha Zimbabwe ke khilaf 2016 main.
KL Rahul ke highest scores:
KL Rahul ke ODI main highest score hai 112, Test cricket main highest score hain 199.
KL Rahul ke T20 cricket main ke highest run hai 110 run.
KL Rahul ke total run hai ODI main 1239 , test cricket main 2006 or T20 cricket main hain 1127 .
Last word:
Toh dosto yeh tha KL Rahul ke bare mein kuch jankari, asha karta hu apko yeh jankari pasand aaye hai ,aur umeed he ki isse aap logo ko kuch janne ko janne ko mila KL Rahul ke bare main ke bare mein.
Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.
Ye bhi padhe:
- Axar Patel ke jeevan parichay ke bare main!
- Irfan Pathan ke Jeevan parichay!
- Virat Kohli ke jeevan Parichay!