Acchi Need Na Sirf Hamari Sehat Ke Liye Jaruri Hain. Balki Daily Ke Kaam Kaaj Ke Liye Bhi Or Hamari Personal Life Ke Liye Bhi Bahut Jyada Jaruri Hain. Aaj Ki Is Post Me Hum Aapko Ek Esi Advice/Information Denge Jisse Aapko Acchi Nind Aaegi Or Aapko Kaam Karne Me Bhi Aalas Nhi aayegi.
Kam/Jyada Sone Ke Nuksan? | Kaise Acchi Nind Le Jaaye
Apko niche puri jankari mlenge kam jyda sone ke kya nuksan hai aur apko yeh bhi batunga ki kaise acchi nind le jaye.
Kam Sone Ke Nuksan
Agar Aap Kam Sote hain To Is se Aapko Dil Ki Bimariya, Diabetes, High Blood Pressure, Yad dash Kam Hona Or Chakkar Aana Jaise Anek Bahut Saari Bimariyo Ka Samna Karna Pad Sakta hain. Agar Aap Ji Kam Sote Ho To Apni Is Kam Sone Ki Aadat Jald Se Jald Kam Krne Ki Kosish Kare.
Jyada Sone Ke Nuksan
Jis Tarah Kam Sone Se Hame Anek Bimariya Ho Sakte Hain Usi Tarah Se Jyada Sone Ki Vajah Se Bhi Hame Bahut Si Bimariyan Ho Sakte hain Jaise – Vajan Badhna, Hath-Pairon Me Dard Hona Ityadi Bahut si Bimariya Ho Sakte Hain Jyada Sone Ki Vajah Se Agar Aap Bhi Jyada Sote Hain To Apni Is Aadat Ko Jald Se Jald Chhodne Ki Kosish Kare.
Healthy Rehne Ke Liye Kitna Samay Tak Sona Chahiye?
Healthy Rehne Ke Liye Aap Ko Kam Se Kam 6 – 8 Hour’s Tak He Sona Chahiye Is Se Na Kam Or Na He Jyada Sona Chahiye kyuki Agar Aap Is Time Se Kam Ya Jyada Sote Hain To Aapko Bahut Saari Bimariya Ho Sakte Hain. or Agar Aap 6-8 Hour’s Daily Sote hain To Aapko Bimariya Bahut kam Hogi Matlab Aapko Kam Ya Jyada Sone Se Related Koi Bhi Bimariya Nhi hogi.
Kaise Acchi Nind Kaise Le Jaaye ?
Sabse Pehle Chij Acchi Nind Aane Ke Liye Apna Ek No. 1 NIGHT TIME ROUTINE Set Kijiye Is Routine Ki Wajah Se Aapko Ek Perfect Timing Mil Jaaegi Or Aap Roj Usi Time Me Sone Ki Kosish Kijiye Or Roj 6 – 8 hour Tak Soiye Or Agar Aap Sone Se Pehle Naha Loge To Is Se Aapko Or Aapke Dimaag Par Bhatut Accha Asar Padega Aapka Dimaag Hamesha Thanda Rahega Or Aapko Jyada Gussa Bhi Nhi Aayega.
2. Sone Se 1 Ghante Pehle Light DIM Karna
Hamesha Sone Se 1 Ghante Pehle Lights DIM Kar deni Chahiye Kyuki Science Ye Kehta Hain Ki Hamare Body Ke Andar Ek Internal Clock Hoti Hain, Jo Ki Light Ko Mahsus Karti hain.
Ye Internal Clock Insan Ko Jyada Light Ki Vajah Se Thakan Nhi Hone Deti Or Jiski Vajah Se Aapko Jaldi Nind Nhi aati hain. Isi Vajah Se aapko Is Baat Ka Andaaj Nhi hota hain ki Kab Itana Saara Kaam Karne Ke Baad Bhi Raat ke 02:00 Baj Jaate hain. Sone Se 1 Ghante Pehle TV, Laptop, Or Mobile Ka Upyog Bhi nhi krna Chahiye.
3. DESENT SLEEP
Ye Baat To Hum Sabhi Jaante hain ki Hame Roj Simit Samy Tak He Sona Chahiye Agar Aap Roj Jaldi Soo Jaaoge To aapko Subah Jaladi Uthane Me Bhi Koi Pareshani Nhi hogi Doctors Bhi Aapko Yhi Salah Dete hain ki Males Ko 6-8 hour’s Or Females Ko 7-8 hour’s Or Bacho Or Old Age Waale Logo Ko 8-9 Hours Sona Chahiye.
4. Ghar Ke Pardon Or Khidkiyon Ko Aadha Khol Kar Soye
Agar Aap Jis Room Me Sote hain Usme Parde Or Khidkiyan hain To Unko aadha Khol Kar Soye Kyuki Isase Subah Ki Jo Sun Light Ghar Me Aati Hain Us Se aapko Jaldi Uthne Me Thodi Help Mil Sakti hain Kyuki Light ki Vajah Se Hamare Body Ko Light Mahsus Hoti hain Or Hamari Need Jaldi Khul Jaati hain.
Last Word:
Toh Dosto Asha karta hu apko Nind ke bare me kafi jankari mil gaya apko pata chal gya ki Kam/Jyada Sone Ke Nuksan? | Kaise Acchi Nind Le Jaaye Agar aapko is post Pasand Aaya to ise Share Kare.
kuch sawal hai toh comment par jarur puche aur Hamare site ki latest post pane ke liye Hamare Facebook page ko like kare, Hamare blog ki Bell icon ko press Karen. Knowledge finder visit karne ke liye Bahut Bahut Dhanyawad.
Yeh Bhi padhe-
Nice post ����… Merko bhot nind aati h ☹️☹️ plz give me some tips
Ji,post Purah read kijiye I hope apko smj aa jayega apko kya karna hai ??
Mujhe bahut jyada nind aati hai main to 8-10 hour sota hu
8 Hours se Kam soya Karo Bhai ?