Aaj kaal internet ne hume digital jamane mein le aya hai. Aaj ke is digital jamane mein hum bahut sare age badh gaye hai. Hum jaha jab chahe hum apne dosto se baat kar sakte hai.
Hum is digital jamane se pehle jyada dur ke logo se baate nahi kar sakte hai. Hum ghar par kuch kam karte rehte the. Agar kam nahi hote to log ghar par aise hi bor ho rehte the.
Lekin aaj ke is digital jamane mein log jyada bor nahi hote hai, kyuki agar log kuch kam karke free hote hai to aaj kaal wo social media pe busy ho jata hai.
Social media ek aisi platform hai jaha hum apne dosto baat kar sakte hai or dur dur tak apne naye dost bana sakte hai or saath hi hum apna talent bhi social media pe share kar sakte hai.
Social media ke ek aise platform instagram. Jo aaj kaal bahut hi famous hai, khas kar naye pidhi ke liye bahut hi famous hai ye platform.
To dosto aiye is post par hum jante hai ki Instagram ID kaise kholte hai? ID kholne ke tarike, iske faide ye sab ke bare mein.
Instagram app kaise or kaha se download ya install kare?
Instagram app ko download ya install karne ke liye pehle humko playstore par jana padega, playstore pe jane ke bad waha search option instagram likhkar enter karke search karna padta hai.
Waha search karne ke bad apke phone ke screen par instagram app aa jayega, uske bad app ke niche install ka option aa jata hai, apko is install ke option pe click karna hai. Uske bad apke device par ye app install ho jata hai.
Instagram ID kaise khole?
Instagram ID kholne ke liye apko pehle apko
Step:1.Instagram app ko install karna padega, innstall karne ke bad apko app ko open karna padega.
Step:2.Open karne ke bad apke device yani mobile ke screen par signup option aa jata hai, jaha apka ata hai create new account.
Step:3. Create new account par click karte hi apke screen par option ata hai gmail ya phone number enter karne ka.
Step:4. Gmail or phone number enter karne ke bad apne agar gmail diye to apke gmail par messege ayega or agar aap number diye ho to apke number ek OTP ayega.
Step:5. OTP ane ke bad apke screen par enter OTP ka option ata hai, jaha apko aye huye OTP ko enter karna hota hai. OTP enter karne ke bad apka instagram sign in ho jata hai.
Step:6. Uske bad apke screen par kuch about ka, photo ka or follow karne ka option ata hai. Ye sab enter ke bad apka account puri tarah khul jata hai.
Last word:
Toh dosto yeh tha instagram ID kholne ke bare mein kuch jankari, asha karta hu apko yeh jankari pasand aaye hai ,aur umeed he ki isse aap logo ko kuch janne ko janne ko mila instagram app ke use ke bare mein.
Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.
Ye bhi padhe:
- Facebook ke friend list Hide kaise kare?
- Power bank se mobile charge karna mobile ka nuksan hai ? |best power bank…
- ISRO Kya hai|About ISRO in Hindi!
my account has been haked was returned my account
मेरे इंस्टाग्राम आईडी बंद हो गई है उसको
मेरे इंस्टाग्राम आईडी बंद हो गई है उसको