GST kya hota hai? , GST full form, About GST in Hindi!
hum Apne jivan mein chalne ke liye ya aage badhne ke liye bahut cheezo ki upyog karte Hain aur unme se bahut saree cheeze khareed kar lete hain.
yeh sab kharidne ke liye humein paiso ki jarurat hoti hai. Ye sabhi cheeze ek fix price hoti hein jis price mein hum ye khareed kar late hein. Ye sabhi cheez kharidte samai hume tax bhadne ki jarurat hein matlab us price ke saath hi tax include hote hein.
hamare bharat sarkar ne phir naya ek tax ka alan kiya, jise hum cheeze kharidte samai bahdte he, to us naya tax system ka naam hein GST.
To dosto aiye is post par hum jante hein GST ke bare mein, GST kya hein, GST ka full form, GST ka kab shuruwat huyi thi, ye sab ke bare mein.
GST ka full form:
GST ka full form hai Goods and Services Tax. Hindi me वस्तु एवं सेवा कर
GST kya hein:
GST ke full form se hi hum thoda bahut andaza laga sakte hai ki GST kya hai. GST ka matlab hai Goods and Services tax yani ki jab costumer good or services kharidte hein yani kuch khane ke cheez, kuch khilona, kuch ghar ka saman dekha jaye wo sabhi cheez jiska hume roj jarurat hoti hein ye sabhi cheezo ki tax.
Jab hum kuch cheez kharidte hai to hum to uska MRP to bhadte hi lekin saath uska GST bhi bharna padta hai, GST hum direct nahi badte hai, GST ka jo charge hota hai wo MRP ke saath hi include rehta hai.
Jab hum kuch saman kharidte hai, tab hum uska MRP ke saath GST bhi bhadke ke dete hein.
GST ka bharna aaj kaal bahut hiimportant ho gaya hai. Hume sabhi cheezo ki GST thik dhang se bhadna chahiye, GST ka na bhadna ek kanuni gunah hein.
Jis cheez ki jitna GST hota hai, us hisab se hume GST bhadna chahite. Sabhi cheezo ka GST alag alag hota hai.
GST kab lagu huwa bharat mein:
GST ka lagu hona ek taraf faida man raha to dusri taraf nuksan bhi huwa tha isse. GST ki shuruwat 1 July 2017 ko huyi thi, iski shuruwat ki bharat ke pradhanmantri Narendra Modi ji ne.
GST ke wajah se ek faide ye hai ki agar koyi admi pehle cheeze kharidte samai sabhi cheezo ke tax nahi dete the to uska tax aab GST ke wajah se sarkar tak aa jate hai.
last word:
Toh dosto yeh tha GST ke bare mein kuch jankari, asha karta hu apko yeh jankari pasand aaye hai ,aur umeed he ki isse aap logo ko kuch janne ko mila GST ke bare mein Bill Gates ke bare mein.
Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.
Ye bhi padhe:
- असम का नाम असम कैसे हुआ?|about Assam in Hindi,असम के बारे में कुछ बाते!
- AI (Artificial Intelligence) क्या होता है ?|AI के बारे में पूरी…
- UPSC kya hota hain?|About UPSC in Hindi?
बहुत अच्छे जानकारी जाहिर भाई ! एइसे ही काम करते रहे भाई
Thanks and keep visit