Google meet app ke faide, Google meet app kyu istemal karte hai?
Aaj hum digital jamane mein reh rahe hai. Hum apne lag bhag sabhi samasya online par hi solve karte hai. Aaj internet ne hamari jibon ko hi asan bana diya hai.
Hum internet ke badulat bahut dur dur tak apne dosto, ristedaro se baat kar sakte hai. Agar hum kabhi kisi problem ke karan dosto se ek saath mil nahi pate to hume internet ne itna suvidha bhi diya hai ki hum online pe hi apne sabhi dosto se baat kar sakte hai.
Online pe kuch app hai jiske sahai se dur dur tak rahe hum apne apno se baat kar sakte hai. Sirf apne dosto se baat hi nahi walki hum koyi bhi important meeting bhi ye sab app ke jariye kar sakte hai.
Online app o mein se ek app hai google meet jis app ke jariye hum ye sab kam kar sakte hai.
To dosto aiye is post par hum jante hai ki Google meet app kya hai, google meet app ko download kaise kare, is app ke faide ye sab ke bare mein.
Google meet app download ya install kaise kare?
Google meet app ko download karne ke liye pehle humko google play store pe jana padega, waha jane k bad hume google meet app type karke search karna padega. Search karne ke bad apke screen par app aa jayega or phir is app ke niche likha hoga install.
Apko install par click karna hai, uske bad ye app install ho jayega.
Google meet app kya hai?
Google meet app ek aisa app hai jiske jariye hum vedio call conference kar sakte hai, saath mein meeting bhi kar sakte hai. Google meet par ek saath 250 log ek saath meeting kar sakte hai.
Google meet par hum presentation bhi de sakte hai. Google app ko hum computer or mobile dono par hi use kar sakte hai. Google meet ab free ho gaya hai. Lekin isse pehle is app ko use karne ke liye apko fee dena padta tha.
Google meet app ko kaise chalaye?
Google meet app ko pehle apko google play store se install karke open karne ke bad apke screen par ek continue ka option aa jata hai.
Waha continue karne ke bad apke phone pe kuch allow ka option ata hai jo apko allow karna hota hai. Uske bad apko kisi ek Gmail account se google meet app par log in Karna hai. Log in karne ke bad apke mobile ke screen par kuch aa jata hai.
Ek hota hai voice ka or ek hota hai vedio ka.Agar aap chaho to isme se voice or vedio dono ko hi app hide kar sakte ho. Voice or vedio hide karne par apka voice bhi nahi sunai dega or vedio bhi nahi dikhai dega.
Apke. screen par phir do option ate hai ek hai new meeting or ek hai meeting code. Apko meeting code par click karne se jo meeting aap join karna chahte ho us meeting code enter karna hota hai or apka meeting mein join ho jata hai.
New meeting par click karke aap naya meeting start kar sakte hai.
Last word:
Toh dosto yeh tha google meet app ke bare mein kuch jankari, asha karta hu apko yeh jankari pasand aaye hai ,aur umeed he ki isse aap logo ko kuch janne ko janne ko mila google meet app ke use ke bare mein.
Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.
Ye bhi padhe:
- गूगल अकाउंट में से my activity कैसे डिलीट करे !
- Mother Teresa Biography in Hindi|unke Jivan Parichay
- Growth App kya hai ?|इस अप्प का उपयोग क्या है!