Google Adsense Approval kaise paye 2020: Namaskar Dosto, aaj is post me hum bahut hi ashan bhasha me janenge 2020 me Google adsense approval kaise paye, aksar log hume messages karte rehta hai Jakir Bhai, Jakir Sir Google adsense approval kaise lu, adsense approved nahi ho rha help me Etc.
Toh aapka swagat hai Knowledge finder ke ek naya likh me, is post ko likhne ka maksad yanhi hai hamare blog me jitne log visit karte hai unme se kuch log blogging karna chahte hai toh sabse pehle uske man me sawal aate hai Earning ko lekar toh Adsense ek Jariye hai lagh bagh online se jitne jyada log paise kama rhe hai unme se 80% se jyada log adsense se Earn kar rahe hai.
Aapko is post me Adsense account approval kaise paye is bare me janne ko milega, is post me hum Blog se Adsense approval kaise lenge woh janenge Youtube se Adsense approval kaise le uske liye aap Yeh post padhe –
यूट्यूब पर चैनल कैसे बनाएं ? | Youtube से पैसे कैसे कमाए पूरी जानकारी (2020) is post me apko Youtube se judhe puri jankari milenge monetization kaise hoga adsense approval kaise milega A to Z.
Google Adsense Approval kaise paye 2020
Adsense approval lene ke liye apne blog ko acchi se design (Customize)karna hoga or kya kya karna hai sabhi point humne niche ek ek karke acche se bataya hai aap sabhi point ko follow karenge aap ka Adsense approval aa jayega Bina kisike madad se.
#1 Blog banaye Acchi domain se
Sabse pehle apko ek Blog banwana hoga uske liye Domain Book karna hai dhyan de jo Top Level Domain (TLD) domain use choice kare, .com, .in, .info, .net yeh sabhi TLD domain hai inme se choice kar ke domain kare.
fir ap Blogger par free me Blog bana sakte hai iske bare me pehle bata chuka hu Blog kya hai ?|Free blog kaise banaye? | make money form… or uske alwa aap WordPress par blog bana skte hai jiske liye hosting kharidna padhta hai ( Web Hosting Shared hosting kya hai) yeh post padhe. or agar aap free shuru karna chahte hai toh Blogger se shuru kare.
#2 Blog me Unique Post likhe
Sabse main point he Adsense approval lene ke liye apke blog me Unique post hona chahiye iska matlab aap kisi ke site se post copy karke paste krne se nahi hoga aap khud Unique post likhe 20-30 ya 50 post tak likh dale, Article ke length 600 words se jyda rakhe.
#3 Site me 4 Pages Add kare
Jaise hi aap Blog me unique article dalenge or site bana kenge uske bad site me 4 pages add karna hai woh hai 1. Contacts us 2. About us , 3. Privacy Policy, 4. Sitemap. aap niche image me dekh sakte hai hamare blog me bhi pages add kia hua hai.
Sitemap use Google Webmaster me submit kar dene hai, idhar blog me add nahi karne se bhi koyi issue nahi hai.
#4 New Gmail, new number and handset
Apni Site se match karte hue new gmail banaye or usse Adsense account sign up kare. or yeh dhan rakhe ek phone se 2-3 adsesnse approval kabi kabar aate nahi hai toh naya phone naya gmail se submit karenge toh jyada chances rhega apka adsense approved hone me. Mobile number bhi new add kare adsense me. pehle koyi adsense account me apka number use hai toh woh use na kare.
#5 Submit your Site on Google Search Console
apni site ko google search console me jarur submit kare, or Search console me Sitemap bhi submit karna na bhule.
Kyu ki apka site google me tab hi show hoga jab aap Search console me submit karoge or Sitemap submit karne ke bad se hi aap ka blog ke sabhi post google me index hoga.
Adsense Approval Reject ho rha hai ?
Dosto kayi bar aisa jarur hota hai ki apka site design, posts, pages sab kuch sahi hai fir bhi adsense approval reject kar raha hai, Toh iska solution yehi hai apko kuch din wait kar ke fir se Request karna hai. uske alwa apko mai Google adsense ke official policy ko ekbar read karne ki salah dunga ap jarur read kare jisse apko aage chal kar adsense se sambandhit koyi issue na aaye. Link: https://support.google.com/adsense/answer/9724
Last Word
Toh yeh tha Adsense approval kaise paye 2020 me, adsense approved hone ke liye kya krna chahiye is bare me. asha karta hu abhi aap jan gaye Blog se Adsense approval kaise paye.
Post kesa laga or koyi sawal sujaw hai to comment jarur kare, is blog ke latest post ke update aur notification pane ke liye Facebook page like, bell icon subscribe kare. Knowledge finder visit aur likh padhne ke liye aapka Bahut Bahut Dhanyawad.
Yeh Bhi padhe-
- Top 10 Best Hindi Website 2019 | Hindi Blogs/websites list
- Web Hosting kya hai ? | Shared, Dedicated Hosting कौनसा बेस्ट…
- Sponsorship kya hai | Sponsorship से पैसे कैसे कमाते है ?