fraud call kaise hote hai?|banking Fraud call kya hai

Fraud call kya hai | banking fraud call kaise hote hai, Fraud call wale kya process karte hai, Fraud call abhi naya technics ?
  
Hi, sayed ap bhi kisike na kisise suna honge call par fraud hote hai call karke bank se paisa churi horha hai.

Apka man me bhi jarur sawal aya hoga yeh fraud call wale kaise kya karte hai aur fraud call ka kya process

Toh is post ko end tak read kijiye isme humne bataya ki fraud call kya hai, banking fraud call kaise hote hai,  fraud call wale kaise kaam karte hai unke kya process hote hai.  Aur ap kaise bache yeh sare fraud call se

 

fraud call kaise hote hai
Fraud call kaise hote hai


Fraud call kya hai?

   Dosto yeh naya chij nahi hai bharso pehle se har din kisiko na kisiko fraud call hote ja raha hai calling karke apse apka banking details Manga Jata hai Aur apka paisa chura lete hai, fraud call karne wale ashan basha se bole toh yeh hamare Jaise hi normal insan hai bas unlog galat kaam kar rha hai chand kuch paiso ke liye
 
Fraud call wale apko call karke apka banking details lekar apka paisa Lekar bhag jate hai ise fraud call, fraud ho gya kehta hai.
 

Banking fraud call kaise hote hai

       Apko call karke bolega hum bank se bat kr rha hu, sir apka account block hua hai ya apka debit card expire hua hai ap agar apka account shi rakhna cahte ho ya apka debit card unblock karne cahte ho toh apka debit card ki number do aur expire no. Cvv do. 

To dosto apko bilkul dena nahi koyi bhi bank se call krke yeh sob nahi mangte agar apka account sacchi kuch hua hai toh ap bank jakr banker se bat krke thik krna padega.
 
call par aisa kuch nahi hota hai apka debit card naya dega agera bagera aur nahi koyi bank ke Taraf se bolega ki apka details do to sidhi bat kabi bhi yeh sob fraud call par mat pare bas ignore kare. 

Fraud call wale kya process karte hai

Jo log yeh sare galat kaam krte hai unlog thoda bahut intelegent hai yani technology ke ke bare me thoda bahut pata hote hai.


Un log sabse pehle apko call karke apka details lene ke bad unloge bass software yani khudka system, website hote hai jaha pe apka details dalkr match karwayega

uske bad apko firse bolega apka number par otp aya hai woh dijiye voh dene se uska transaction complete ho Jati hai our apka account me jitna paisa rehte hai le lete hai.

Fraud call abhi naya Technics ?

Kuch din se mene yeh dekh rha hu ab fraud karne ke liye naya technique nikala hai woh hai sabse pehle apko call karega aur bolega madam/sir apka number par ya apka naam se lotary laga hai

apka voter id aur pan card do dene ke bad unlogone apka name aur details ke mutabik ek printing karega jaha pe company naam rahega Jaise jio, Maruti aur usme lotary agera bagera ka logo laga rahega lekin yeh sob fake hai

Usme signature bagera bhi rahega jo ki bilkul fake hai Apko voh print out whatsApp par dega bolega ab apka sara kaam ready he ap apka lotary details dek skte ho

uske bad bolega abhi ap hamare account details par paisa bhejo 5 se 6 hazar aise kuch paisa mangega.

Jaise hi ap Paisa de denge apka lotary to dur ki bat sab Hawa ho jayega. Us banda ke number par call bhi nahi lagega kuch nahi so aise call fraud se bache rahe.


Fraud call se kaise bache

Yeh sob fraud call se bacne ke liye apko har time satrk hona cahiye jab bhi kayi karega toh use details nahi dena ap trucaller app ko istemal kar sakte ho isse hoga apko jo bhi call karega ap alert aa jayega ki yeh number fraud hai spam hai.

Final word:
Aaj humne jana Fraud call se kaise bache, Fraud kaise hote hai ? asha karta hu apko yeh jankari pasand aaya hai.

Toh friends, is post ko apne sabhi dosto se aur social media par share karde taki kisike sath fraud na ho, post kaise laga and kuch sawal hai to comment jarur kare. Knowledge finder blog visit karne ke liye Thank you so much ❤️

Yeh bhi padhe –

2 thoughts on “fraud call kaise hote hai?|banking Fraud call kya hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *