Desktop par Internet access karne ka best tarika

 


Desktop par Internet access karne ka best tarika

Hi Dosto, Filhal jydatar log Internet, online ki kaam karne ke liye Laptop hi istemal karta hai lekin aj bhi bahut sare desktop hai jispar na toh wifi hai na hi net connect karne ke liye koyi wireless subida hai. aj ke is post par apko janne ko milega Desktop par internet connect karne ka kuch best tarika, yeh post read karne ke bad apko desktop par internet kaise chalaye aur mobile se kaise internet de apne desktop, computer system par is ke bare me apko accha se malum chal jayega.

kya hota hai dekhiye laptop par ap wife ke duara internet connection de pate hai. lekin purane jo desktop computer system hai un sare device par yeh wireless wala concept nehi hai. halaki ab jo naye CPU aa rha hai unme apko Wife feature dekhne ko milta hai.

Aiye ab jante hai old desktop computer par internet connection dene ka best 3 tarika kya kya hai

Desktop par Internet connect karne ka 
method 1

USB data cable se Desktop par internet de payenge, bas apka mobile ki data on karna hai usb lagakar Mobile ki settings me jana hai uske bad wireless & networks section ke andar Tethering and portable hotspot par click kijiye uske bad USB tethering option ko on kar dijiye. 

Method 2



USB wireless adapter, ap WIFI ka adapter se bhi desktop par internet connection de payenge apne smartphone se, Wifi adapter apko online flipkart or offline store par bhi mil jayega. 200 se 400 rupees ke aas pass kimat hai. is adapter ko apne desktop USB port par lagana hai kuch adapter ke sath CD ate hai agar cd wala adapter kharidenge toh apko voh cd ka software apne computer par install karna hoga, bas uske bad apne mobile hotspot ke duara apne desktop par internet connection de payenge.




Method 3
Bluetooth adapter, blue adapter ke bare me toh ap jante hi honge yeh bahut pehle se hi computer accessories me hai iske madad se ap apne desktop computer par bluetooth feature enable kar payenge iske madad se apne desktop par data, pic, file bagera blutooth kar payenge. Bluetooth ke madad se internet connection bhi de payenge. iska step bhi USB wireless wala ke jaisa hi hai, mobile settings par hotspot option par bluetooth tethering option on kar dena hai.

Final word: toh dosto yeh tha computer related ek post jaha pe apko jankari mila Desktop par internet access karne ka best tarika, yani desktop par internet connect kaise kare.

I hope apko post acha laga hai. aise hi aur knowledgeable bate janne ke liye www.knowledgefinder.in ke sath judhe rahiye, is site ka facebook page ko like jarur kare. is site ko visit karne ke liye apko bahut bahut Dhanyawaad, age bhi visit karte rahiye aur knowledge finder blog se “Har din kuch naya knowledge pate rahiye”


One thought on “Desktop par Internet access karne ka best tarika

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *